Hazrat Ummul Momineen Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Kee Unhone Farmaya Ke Sabse Pahli Wahi Jo Rasoolallah Sallallahu Alaihiwasallam Par Utarni Shuru Huwi Woh Achche Khwaab The Jo Ba-haalate Neend Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Dekhte The.

Chunanche Jab Bhi Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Khwaab Dekhte To Woh Subah Ki Roshni Ki Tarah Zaahir Ho Jaata Phir Tanhayi Se Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ko Mohabbat Hone Lagi Aur Gaar e Hira Me Tanha Rahne Lage Aur Qabl Iske Ke Ghar Walo'n Ke Paas Aane Ka Shauq Ho, Wahaa'n Tahannas Kiya Karte, Tahannas Se Muraad Kayi Raate'n Ibadat Karna Hai Aur Uske Liye Tosha Sath Le Jaate (Ya'ani Khane Peene Ka Saamaan Le Jaate). Phir Hazrat Khadija Radiallahu Anha Ke Paas Wapas Aate Aur Isi Tarah Tosha Le Jaate Yahaa'n Tak Kee Jab Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Gaar e Hira Me The Wahi Ka Nuzool Huwa.

Chunanche Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ke Paas Farishta Aaya Aur Kaha Padhiye, Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ne Farmaya Kee Maine Kaha Main Padhne Wala Nahi Hoo'n, Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Bayaan Karte Hain Kee Mujhe Farishte Ne Pakad Kar Zor Se Dabaya Yahaa'n Tak Ke Mujhe Takleef Mehsoos Huwi, Phir Mujhe Chhodh Diya Aur Kaha Padhiye! Maine Kaha Main Padhne Wala Nahi Hoo'n, Phir Doosri Baar Mujhe Pakda Aur Zor Se Dabaya, Yahaa'n Tak Kee Meri Taaqat Jawaab Dene Lagi Phir Mujhe Chhodh Diya Aur Kaha Padhiye! Maine Kaha Main Padhne Wala Nahi Hoo'n, Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Farmate Hain Ke Teesri Baar Mujhe Pakad Kar Zor Se Dabaya Phir Chhodh Diya Aur Kaha Padhiye Apne Rab Ke Naam Se Jisne Insaan Ko Jame Huwe Khoon Se Paida Kiya, Padhiye Aur Tera Rab Badi Izzato'n Wala Hai, Rasoolallah Sallallahu Alaihiwasallam Ne Un Ayaat Ko Dohraya Is Haal Me Kee Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ka Dil Kaanp Raha Tha.

Chunanche Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Hazrat Khadija Bint Khuwaild Radiallahu Anha Ke Paas Aaye Aur Farmaya Ke Mujhe Kambal Udha Do, Mujhe Kambal Udha Do, To Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ko Kambal Udha Diya, Yahaa'n Tak Kee Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ka Khauf Jaata Raha, Phir Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ne Hazrat Khadija Radiallahu Anha Se Saara Waqea'a Bayaan Karke Farmaya Ke Mujhe Apni Jaan Ka Khauf Hai.

Hazrat Khadija Radiallahu Anha Ne Kaha Hargiz Nahi, Allah Ki Qasam, Allah Ta'ala Aap Sallallahu Alaihiwasallam Ko Kabhi Bhi Ruswa Nahi Karega, Aap Sallallahu Alaihiwasallam Silah Rehmi Karte Hain, Na-Tawano'n Ka Bojh Apne Sir Par Lete Hain, Mohtajo'n Ke liye Kamaate Hain, Mehmaan Ki Mehmaan Nawazi Karte Hain Aur Haq Ki Raah Me Pareshani Uthaate Hain.

Phir Hazrat Khadija Radiallahu Anha Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ko Lekar Warqa Bin Nofil Usaid Bin Abdul Uzi Ke Paas Gayi'n Jo Hazrat Khadija Radiallahu Anha Ke Chacha Zaad Bhai The Zamana e Jahiliyat Me Nasrani Ho Gaye The Aur Ibrani Kitab Likha Karte The, Chunanche Injeel Ko Ibrani Zabaan Me Likha Karte The, Jis Qadr Allah Chaahata, Nabeena Aur Boodhe Hogaye The, Unse Hazrat Khadija Radiallahu Anha Ne Kaha Aye Mere Chacha Zaad Bhai! Apne Bhateeje Ki Baat Suno. Aap Se Warqa Ne Kaha Aye Mere Bhateeje Tum Kya Dekhte Ho? To Jo Kuch Rasoolallah Sallallahu Alaihiwasallam Ne Dekha Tha, Bayaan Kar Diya.

Warqa Ne Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Se Kaha Kee Yehi Woh Namoos Hai Jo Allah Ta'ala Ne Hazrat Moosa Alaihissalam Par Naazil Farmaya Tha Kaash Main Naujawan Hota, Kaash Main Us Waqt Tak Zinda Rahta, Jab Tumhari Qaum Tumhe'n Shaher Badar Kar Degi, To Rasoolallah Sallallahu Alaihiwasallam Ne Farmaya ! Kya Woh Mujhe Nikaal Denge? Warqa Ne Jawab Diya- Haan ! Jo Cheez Tum Lekar Aaye Ho Is Tarah Ki Cheez Jo Bhi Lekar Aaya Usse Dushmani Ki Gayi, Agar Main Aapka Zamana Paao'n To Main Aapki Poori Madad Karunga, Phir Zyada Zamana Nahi Guzra Kee Warqa Ka Inteqaal Ho Gaya Aur Wahi Ka Aana Kuch Dino'n Ke liye Band Ho Gaya.

📕»» Bukhari Shareef, Kitabul Wahi, Hadees No.3 #Sahih Hadees
--------------------------------------------------------
🖌Post Credit - Shakir Ali Barelwi Razvi Wa Ahliya Mohatarma

📌 Roman Me Hadees Post Padhne Ke Liye Click Kariye ⬇

https://MjrMsg.blogspot.com/p/bukhari-shareef-roman.html