Ibne Shahaab Ne Kaha Ki Abu Salma Bin Abdur Rehman Ne Mujhe Khabar Di Kee Hazrat Jabir Bin Abdullah Ansari Radiallahu Anhu Wahi Ke Rukne Ka Haal Bayan Kar Rahe The Unhone Kaha, Jis Waqt Main (Nabi) Jaa Raha Tha To Maine Aasman Se Ek Aawaz Suni, Maine Nazar Uthaayi To Maine Dekha Ki Wohi Farishta Tha, Jo Mere Paas Gaar-e-Hira Me Aaya Tha Wo Aasman Aur Zameen Ke Darmiyaan Kursi Par Baitha Tha, Main Usase Mar'oob Ho Kar Laut Aaya.

Maine Kaha Mujhe Chadar Udha Do, Phir Allah Ta'ala Ne Yah Ayat Naazil Farmayi, Aye Kambal Posh Paigambar Utho Aur Logo'n Ko Darao, Apne Rab Ki Azmat Bayaan Karo, Apne Libaas Ko Saaf Suthra Rakho Aur Buto'n Se Alag Raho.

Phir Ba Kasrat Wahi Ka Nuzool Huwa Aur Lagataar Wahi Aane Lagi.

Abdullah Bin Yusuf Aur Abu Sauleh Ne (Lais Se Riwayat Me) Yahya Bin Bakeer Ki Mutabe'at Ki Aur Helaal Bin Rawad Ne (Ibne Shahaab) Zohri Se Riwayat Me Aqeel Ki Mutabe'at Ki Hai, Yunus Aur M'omar Ne Fawada Ki Jagah Bawadra Bayaan Kiya (Ya'ani Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ka Dil Kapkapa Raha Tha, Ki Bajaye Kaha Hai Kee, Nabi e Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Ke Kaandho Ke Darmiyaan Gosht Kapkapa Raha Tha)

📕»» Bukhari Shareef, Kitabul Wahi, Hadees No.4 #Sahih Hadees
--------------------------------------------------------
🖌Post Credit - Shakir Ali Barelwi Razvi Wa Ahliya Mohatarma

📌 Roman Me Hadees Post Padhne Ke Liye Click Kariye ⬇

https://MjrMsg.blogspot.com/p/bukhari-shareef-roman.html