✳Sawal:- Shafi, Hanfi, Hambli, Maliki Mazhab Kaise Bane ?
Asar Ki Namaz Shafayi Hazraat Pehle Asre Mai Kyu Padte Hai Aur Kya Hanfi Hazraat Ki Namaz Shafayi Imaam K Peeche Hogi ?

✴Jawaab:- Jab Aap Mareez Hote Hain To Aap Ki Aql Kya Kehti Hai Kee Aap Kis Ke Paas Jaayen? Engineer Ke Paas? Baniye Ke Paas? Ya Doctor Ke Paas?

Zahir Hai Kee Aql Doctor Ke Paas Jane Ka Hukum Karti Hai.

🌟Jab Insan Khud Shariat Se Waqif Na Ho Aur Jahannam Me Jaane Se Bachne Ke Liye Shariat Par Amal Karna Chahta Ho To Masaail Poochne Ke Liye Kis Ki Taraf Ruju Kare? Alim E Deen Ki Taraf? Ya Jahil Ki Taraf? Aql E Saleem Yahi Kehti Hai Kee Us Ki Taraf Ruju Kiya Jaaye Jo Deen Ke Ahkam Me Waqif Ho Aur Alim E Deen Ho.

💢Wo Alim E Deen Ya Khud Deen Me Specialist Hoga Ya Kisi Specialist Ke Nusqe Ko Batayega Usi Specialist Ko *Mujtahid* Kehte Hain Aur Us Ke Fatwe Par Amal Karne Ko *Taqleed.*

🌟Islami Shariat Ki Aslan 3 Buniyaden Hain.

1). Allah Ki Kitaab (Qur'an Majeed)
2). Sunnat E Rasool ﷺ (Hadees E Nabavi)
3). Ijma E Ummat.

Kitabullah Asl Ul Usool Hai, Aur Sunnat Kitabullah Ki Tashreeh Hai, Aur Ijma E Ummat Baaz Sunnat Ka Bayan Hai.

🌟Kitab O Sunnat Ke Ahkam Ki Koi Na Koi Illat Zarur Hoti Hai, Albatta Kabhi Wo Illat Zahir Hoti Hai Aur Kabhi Makhfi (Poshida) , Makhfi Illato Ko Muta'iyyan Karna Bahut Dushwar Hai, Is Kaam Ke Liye Badi Diqqat E Nazar Ki Zarurat Hoti Hai.

Ummat Ke Baaz Ahl Ullah Se Allah Ne Ye Khidmat Li Jin Ki Qur'an O Hadees Aur Mizaaj E Shariat
Par Gahri Aur Puri Nazar Thi, Ummat Ka Siwaad E Azam Salafan Wa Khalfan Qarnan Baad Qarnin Un Ki Imamat Aur Jalalat E Shan Ka Qaayel Hai.

Makhfi Illato Ko Muta'iyyan Kar Ke Naye Naye Masaail Ke Ahkam Ma'loom Karne Ka Naam Ijtehad Hai, Aur Ilal E Mutlaqa Par Gair Mansoos Masaail Ko Muntabiq Kar Ke Illat E Mushtarika Ki Bina Par Mansoos Hukm Ko Gair Mansoos Ke Liye Sabit Karne Ka Naam Qiyaas Hai. Lehaza Qiyaas Ki Buniyad Kitabullah O Sunnat Aur Ijma E Ummat Hi Hai.

💢Is Se Maloom Hua Kee Aimma Ke Mujtahidaat (Ijtehadi Masaail) Yaani Fiqh Haqeeqat Me Hadees Hi Ka Nateeja Hain, Hadees Ke Muqabil Me Koi Nayi Cheez Nahi Hai, Neez Is Se Ye Bhi Maloom Hua Kee Ijtehaad Aur Qiyaas Karna Har Ek Ke Bas Ki Baat Nahi Jabke Masaail Par Chaahe Qadeem Hon Ya Jadeed Shar'an Amal Karna Zaruri Hai.

Is Liye Ummat Ke Qabil E Etebar Ulama E Deen Ka Kisi Ek Imam Ki Taqleed Par Ijma Hai.

Khususan Is Zamaane Me Jabke Shariat Par Ama Karne Ke Liye Himmaten Past Hain, Nafs Me Khwahishat Ka Dakhal Hai Aur Khud Raayi Ka Galba Hai.

🌟Agar Admi Ko Bilkul Azad Chhor Diya Jaaye Kee Wo Jis Mazhab Aur Jis Imam Ki Pairwi Karna Chahe Pairwi Kare To Chunke Is Zamane Me Khwahishat Ka Galba Hai, Admi Apni Garz Aur Khwahish Ke Mutabiq Jo Surat Har Mazhab Me Se Apne Matlab Ki Paayega Ikhtiyar Kar Lega, Aur Jo Us Ke Matlab Ke Khilaf Hoga Us Ko Na Maanega.

Aisi Surat Me Deen To Rahega Nahi, Garz Aur Nafs Parasti Reh Jaayegi Kee Kabhi Us Imam Ki Taqleed Karen Jo Kisi Wajah Se Nikah Ko Fasid Qarar Dete Hain Aur Kabhi Us Imam Ki Jo Durust Qarar Dete Hain Apni Garz Aur Khwahish Ke Mutabiq Aur Is Tarah Amal Karna Bil Ittefaq Na Jaayez Hai.

Isi Wajah Se Ulama Ne Aimma E Arba'h Me Se Kisi Ek Ki Taqleed Ko Lazim Aur Zaruri Qarar Diya Hai.

💢Kisi Hadees Ka Fee Nafsihi Sahi Hona Amal Ke Liye Kafi Nahi Jab Tak Ye Maloom Na Ho Jaaye Ye Hadees Gair Mansookh Ya Gair Mu'awwal Hai.

🌟Aimma E Arba'h Ke Aqwaal Mukhtalif Kitabo Me Maujood Hain Jin Me Un Hazraat Ne Waazeh Taur Par Kaha Hai Kee Hamari Har Us Baat Ko Maano Jo Qur'an O Sunnat Ke Muwafiq Ho Aur Jo Khilaf Ho Us Ko Mat Maano.

Matlab Ye Hua Kee Wo Apne Aqwaal Par Amal Ki Targeeb De Rahe Hain Aur Ye Bhi Bata Rahe Hain Kee In Ke Aqwal Qur'an O Sunnat Ki Mukhalifat Nahi Karte, Lehaza Is Se Un Ki Taqleed Ka Hukm Un Ke Apne Aqwal Se Saabit Hua.

❇️ Asr Ki Namaz Jis Waqt Hanafio Ke Nazdeek Waqt Nahi Hota Shafayi Ke Piche Parhna Durust Nahi.

✴️ Asr Ke Waqt Me Aimma Ka Ikhtelaf Hai Aur Shawaafe Ke Nazdeek Mufta Bih Qawl Ye Hai Kee Asr Ka Waqt Misl E Awwal Ke Baad Hota Hai Jab Ke Ahnaf Ke Nazdeek Mufta Bih Qawl Ye Hai Kee Asr Ka Waqt Misl E Saani Ke Baad Hota Hai.

⚡Agar Shafayi Imam Ahnaf Ke Mutabiq Sharaait O Faraaiz Ka Lehaz Kare To Us Ke Peeche Hanafi Ki Namaz Ho Jaayegi Magar Behtar Ye Hai K Hanafi Imam Ke Peeche Hi Namaz Parhi Jaaye.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/2.html