_____________________________________

⚪ NISAAB KA BAYAN ⚪

MASLAH:-  Jo shakhs 200 dirham (saadhe 52 taula yani (612)  gram chaandi ) ya 20 deenaar (saadhe 7 taulah yani saadhe 87 gram sona)  ka maalik ho ya haajat ke siwa kisi aisi chiz ka maalik ho jis ki qeemat 200 dirham (saadhe 52 taula chaandi)  ho oh gani hai us par Qurbaani wajib hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Haajat e asliyyah se muraad rhne ka makan aur khana daari ke saman jinki haajat ho aur sawari ka janwar khadim aur pahanne ke kapde in ke siwa jo chiz hon oh haajat se zaaid hain.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Us shakhs pe dain (qarz wagairah) hai aur uske amwal se dain ki miqdaar mujra ki jaaye to nisaab nahin baaqi rahti us par Qurbaani wajib nahin.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Maal yahan maujood nahin aur ayyam e Qurbaani guzarne ke ba'd oh maal use mausool hoga to Qurbaani wajib nahin.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Maalik e nisaab ne Qurbaani ke liye bakri khareedi thi oh gum ho gayi aur us shakhs ka maal nisaab se kam ho gaya ab Qurbaani ka din aaya to us par ya zaroori nahin keh dosra jaanwar
kgareed kar Qurbaani kare aur agar oh bakri Qurbaani hi ke din mi gayi aur yw shakhs ab bhi maalik e nisaab nahin hai to us par us bakri ki Qurbaani wajib nahin.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Ek makan jaade ke liye aur ek garmi ke liye ye haajat men daakhil hai in ke ilawah us ke paas teesra makan ho jo haajat se zaaid hai agar ye 200 dirham (saadhe 52 taula chaandi)  ka hai to Qurbaani wajib hai.


MASLAH:-  Haajat se zaaid makan hai aur uski qeemat nisaab ko pahunchti ho to Qurbaani wajib hai agarcheh oh makan kiraya par chalata ho ya khali pada ho.

#(Fatawa razviyyah  jild  8 safah 389)


MASLAH:- Makan e sukunat itna bada hai keh uska ek hissa us ke jaade garmi ki sukunat ke liye kaafi ho aur dosra hissa haajat se zaaid ho aur uski qeemat tanha ya usi qism ke maal mein milkar nisaab taka pahunche jab bhi Qurbaani wajib hai.

#(Fatawa razviyyah  jild 8  safah 389)


MASLAH:-  Garmi jaade ke bichhone haajat men daakhil  hain aur teesra bichhona jo haajat se zaaid hai hai uska eitbaar hoga.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Kisi ke paas 2 car hain agar ek se zaroorat poori ho sakti hai aur dosri zaaid hai to aga dosri ki qeemat nisaab ko pahunch jaaye Qurbaani wajib hai.


MASLAH:- 2 motor cycle hain ek se zaroorat poori ho sakti hai to dosri wali motor cycle haajat se zaaid hai aur dosri motor cycle ki qeemat nisaab ko pahuch jaaye to Qurbaani wajib hai.


MASLAH:-  Bartan kuchh istemaal ho rahe hain aur kuchh rakhe huye hain to rakhe huye  bartan zaaid hain uska bhi eitbaar hoga.


MASLAH:- Tv video camera wagairah haajat e asliyyah se nahin lihaza agar unki qeemat nisaab ko pahunch jaaye to Qurbaani wajib hai.


MASLAH:- Fridge,washing machine, mixer machine wagairah haajat e asliyyah men hai.


MASLAH:- Ghar men pahanne ke kapde aur kaam kaaj ke waqt pahanne ke kapde aur juma o eidain aur dosre moqo par pahan kar jaane ke kapde ye sab haajat men daakhil hain aur in 3 ke siwa chautha joda agar 200 dirham ka hai to qurbani wajib hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Kisi ke paas kuchh zaaid bartan hain magar nisaab ko nahin pahunchte ya zaaid kapde tanha nisaab ko nahin pahunchte ya zaaid gaadi wagairah tanha nisaab ko nahin pahunchti magar ye sab zawaaid mil kar nisaab ko pahunch jaaye to Qurbaani wajib hai.


MASLAH:- Kisi ke paas khet hai aur uski qeemat nisaab tak pahunchti ho to us par bhi Qurbaani wajib hai.

#(Maakhuz az Fatawa razviyyah  jild  8 safah 393/ Ahkam e shari'at)


MASLAH:- Agar ibteda e waqt mein iska ahal na tha wujoob ke sharaait nahin paaye jaate the aur aakhir waqt men ahal ho gaya yani wujoob ke sharaait paaye gaye to us par wajib ho gayi.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Agar ibteda e waqt men wajib thi aur abhi ki nahin aur aakhir waqt men sharaait jaate rahe to wajib na rahi.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Ek shakhs faqeer tha magar usne Qurbaani kar daali uske ba'd abhi waqt Qurbaani ka baaqi tha keh gani (maalik e nisaab)  ho gaya to usko phir Qurbaani karni chaahiye keh pahle jo ki thi oh wajib na thi aur ab wajjb hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Agar baawajood maalik nisaab hone ke usne Qurbaani na ki aur waqt khatm hone ke ba'd faqeer ho gaya to us par bakri ki qeemat ka sadqa karna wajib hai yani waqt guzarne ke ba'd saaqit nahin hogi.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Ek ghar men kayi afraad maalik e nisaab hain to jitne log maalik e nisaab hain sab par Qurbaani wajib hai ghar ke kisi ek fard ki Qurbaani hone se dosre ka wujoob ada na hoga.


MASLAH:- Kayi afraad men maal mushrtarak hai to agar maal shuraka men taqseem karne ke ba'd har fard ke hissa men itna maal aata ho keh nisaab ko pahjnch jaaye to sab par Qurbaani wajib hai aur agar har ek ka hissa nisaab se kam ho to kisi par wajib nahin.


MASLAH:- Agar maalik e nisaab bagair Qurbaani kiye huye unhi dino men  mar gaya to uski Qurbaani saaqit ho gayi.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Qurbaani ke waqt men Qurbaani karna hj laazim  hai koi dosri chiz uske qaajm maqam nahin ho sakti maslan bajaaye Qurbaani usne bakri ya uski qeemat sadqa kar di ye naakaafi hai.

#(Bahar e shari'at)


📕»»  FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB -  MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI 
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003

📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html