_____________________________________
⚡QURBAANI KE JAANWAR KA BAYAAN⚡
HADEES:- Ummulmumineen hazrat e aaishah siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne hukm farmaya keh sing wala mendha laaya jaaye jo siyahi men chalta ho aur siyahi men baithta ho aur siyahi men nazar karta ho yani uske paaun siyaah hon aur pet siyaah hon aur aankhen siyaah hon oh Qurbaani ke liye haazir kiya gaya huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya aaishah chhuri laao phir farmaya use paththar par tez kar lo phir huzur ne chhuri li aur mendhe ko litaaya aur use zabah kiya phir farmaya
بِسْمِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنْ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ وَ مِنْ اُمَّةِ مُحَمَّدٍ
Ilahi to isko muhammad صلى الله تعالى عليه وسلم ki taraf se aur unki aal ki aur ummat ki taraf se qubool farma.
#(Muslim)
HADEES:- Hazrat e abdullah bin mas'ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Qurbaani men gaaye 7 ki taraf se aur oont 7 ki taraf se hai.
#(Tibrani)
HADEES:- Hazrat majaashe' bin mas'ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh hazur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya bhed ka jaza'a (6 mahine ka bachcha) saal bhar wali bakri ke qaaim maqam hai.
#(Abu daaud o Nasai)
HADEES:- Hazrat e ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya 4
qism ke Jaanwar Qurbaani ke liye durust nahin, kaana jiska kaanapan zaahir hai, aur beemaar jiski beemari zaahir ho, langda jiska lang zaahir hai, aur aisa laagar jiski haddiyion men magz na ho.
#(Imam ahmad)
HADEES:- Hazrat e ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne kaan kate huye sing toote huye ki Qurbaani se mana farmaya.
#(Ibn e maajah/Imam Ahmad)
HADEES:- Hazrat e ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh rasool e akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya keh ham Jaanwaro ke kaan aur aankhen gaur se dekh len aur uski Qurbaani na kren jiske kaan ka agla hissa kata ho aur na uski jis ke kaan ka pichhla hissa kata ho na uski jiska kaan phata ho ya kaan men sooraakh ho.
#(Tirmizi/Abu daaud/Nasai)
🌟MASAAIL E FIQHIYYAH🌟
MASLAH:- Qurbaani ke Jaanwar 3 qism ke hain ~
1). Oont
2). Gaaye
3). Bakri
Har qism men uski jitni nau'aen hain sab daakhil hain narr o maadah khassi aur gair e khassi sab ka ek hukm hai yani sab ki Qurbaani ho sakti hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Bhains gaaye men shumaar hai uski bhi Qurbaani ho sakti hai - bhed aur dumbah bakri men daakhil hain unki bhi Qurbaani ho sakti hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Wahshi (jangli) Jaanwar jaise neel gaaye aur hiran inki Qurbaani nahin ho sakti.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Murgi ki Qurbaani jaayez nahin.
#(Fatawa razviyyah jild 8 safah 530)
❇️ QURBAANI KE JAANWAR KI UMAR KA BAYAAN ❇️
Qurbaani ke janwar ki umar ye honi chaiye:-
Oont 5 saal ka, gaaye 2 saal ki, bakri 1 saal ki , is umar se kam ho to Qurbaani jaayez nahin ziyadah ho to jaayez balkeh afzal hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Dumbah ya bhed ka 6 maah ka bachcha agar itna bada ho keh door se dekhne men saal bhar ka maloom hota ho to uski Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Bakri ki qeemat aur gosht agar gaaye ke saatwen hissa ke barabar ho to bakri afzal hai aur gaaye ke saatwen hissa men bakri se ziyadah gost ho to gaaye afzal hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Mendha bhed se aur dumbah dumbi se afzal hai jab keh dono ki qeemat ek ho aur dono men gosht barabar ho.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Bakri bakre se afzal hai magar khassi bakra bakri se afzal hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Oontni oont se aur gaaye bail se afzal hai jab keh gosht aur qeemat men barabar hon.
#(Bahar e shari'at)
📕»» FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB - MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003
📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html