_____________________________________
✴️ZABAH KA BAYAAN✴️
Allah azza o jalla farmata hai-
حُرِّمَتْ عَلَیْكُمُ الْمَیْتَۃُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِیرِ وَمَا أُہِلَّ لِغَیْرِ اللَّہِ بِہِ وَالْمُنْخَنِقَۃُ وَالْمَوْقُوذَۃُ وَالْمُتَرَدِّیَۃُ وَالنَّطِیحَۃُ وَمَا أَكَلَ السَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّیْتُمْ وَمَا ذُبِحَ عَلَى النُّصُبِ وَأَن تَسْتَقْسِمُوا بِالْأَزْلَامِ ۚ ذَٰلِكُمْ فِسْقٌ ۗ
Tum par haraam hai murdaar aur khoon aur suwwar ka gosht aur jis ke zabah men gair e khuda ka name pukara gaya aur jo gala ghontne se mar jaaye aur dab kar mara hua yani bedhaar ki chiz se maara hua aur jo gir kar mara ho aur jisko kisi Jaanwar ne singj maara ho aur jis ko darindah ne kuchh khaa liya ho magar oh jinhen tum zabah kar lo aur jo kisi thaan par zabah kiya gaya ho aur teero se taqdeer ko maloom karna ye gunaah ka kaam hai.
📜 Surah 5 سُورَۃُ الْمَآىِٕدَة | Ayah 3
وَلَا تَأْكُلُوا مِمَّا لَمْ یُذْكَرِ اسْمُ اللَّہِ عَلَیْہِ وَإِنَّہُ لَفِسْقٌ ۗ
Aur use na khaao jis pe allah ka name nahin liya gaya aur oh beshak hukm udooli hai.
📜Surah 6 سُورَۃُ الْاَنْعَام | Ayah 121
✳️ AHAADEES ✳️
HADEES:- Hazrat e abdullah bin abbas o abu hurairah رضى الله تعالى عنهم se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne شريطة الشيطن se mumana'at farmaayi ye oh zabeeha hai jiski khaal kaati jaaye aur ragen na kaati jaayen aur chhod diya jaaye yahan tak keh mar jaaye.
#(Abu daaud)
HADEES:- Ummul mumineen hazrat e aaishah siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh logo ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم yahan kuchh log abhi naye musalman huye hain oh hamare paas gosht laaye hain hamen maloom nahin keh allah ka name unhon ne zikr kiya hai ya nahin ,
farmaya keh bismillah kaho aur khaao yani muslim ke zabeeha men is qism ke ihtemalaat na kiye jaayen.
#(Bukhari)
HADEES:- Shaddad bin aus رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya keh Allah tabarak o ta'ala ne har chiz men khoobi karna likh diya hai, lihaza qatl karo to us men bhi khoobi ka lihaz rakho (yani be sabab usko eeza mat pahunchaao)
Aur zabah karo to zabah men khoobi karo aur apni chhuri ko tez kar lo aur zabeeha ko takleef na pahunchaao.
#(Muslim)
🌟MASAAIL E FIQHIYYAH🌟
MASLAH:- Gale mein chand ragen hain inko kaatne ko "zabah" kahte hain aur us Jaanwar ko jiski oh ragen kaati gayi " zabeeha" aur "zibah" kahte hain yahan zaal ko zer hai aur pahli jagah zabar hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Ba'z Jaanwar zabah kiye jaate hain ba'z nahin jo shar'an zabah nahin kiye jaa sakte hain un men ye do machhli aur tiddi bagair zabah kiye halaal hain.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Zabah ki jagah halaq aur lubbah ke maabain (darmiyan) hai lubbah seene ke baalaai hissa ko kahte hain.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Awam men ye mashhoor hai keh uoont ko 3 jagah zabah kiya jaata hai galat hai aur yun karna makrooh hai keh bila faaidah eeza dena hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jo ragen zabah men kaati jaati hain oh 4 hain (1) hulqoom ye woh hai jis men saans aati jati hai (2) muri is se khana paani utarta hai (3/4) in dono ke agal bagal aur 2 ragen hain jin men khoon ki rawani hai unko "wadjain" kahte hain.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Poora hulqoom zabah ki jagah hai yani uske a'ala ausat asfal jis jagah men zabah kiya jaaye halaal hoga.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Aaj kal chunkeh chamde ka narkh (qeemat) ziyadah hai aur ye wazan ya naap se farokht hota hai is liye qassab iski koshish karte hain keh kisi tarah chamde ki miqdar badh jaaye aur is ke liye ye tarkeeb karte hain keh bahut uoopar se zabah karte hain aur is soorat men aisa bhi ho sakta hai keh zibah fauqul uqdah ho jaaye aur is men ulama ko ikhtelaf hai keh Jaanwar halaal hoga keh nahin is baab men qaul e faisal ye hai keh zibah fauqul uqdah men agar 3 ragen kat jaayen to Jaanwar halaal hai wrna nahin.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Ulama ka ikhtelaf aur ragon ke katne men ihtemaal dekhte huye ihteyaat zaroori hai keh ye mu'aamala hillat o hurmat ka hai aur aise maqam par ihteyaat laazim hoti hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Zibah ki 4 ragon men se 3 ka kat jaana kaafi hai yani is soorat men bhi Jaanwar halaal ho jaayega.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Agar chaaro men se har ek ka aksar hissa kat jaayega jab bhi halaal ho jaayega.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Aadhi aadhi har rag kat gayi aur aadhi baaqi baaqi hai to halaal nahin.
#(Bahar e shari'at)
⚠️ZAROORI INTEBAAH⚠️
Qurbaani men aksar aisa hota hai keh zabah karne wala Jaanwar ke gale pe chhuri phiraata hai aur sirf chamdi kat ti hai keh qassaab chhuri le kar khud zabah karne lagta hai to is soorat men bhi 3 ragon ka bilkul katna ya chaaro rago ka aksar hissa kat jaana zaroori hai,
Agar 3 ragen mukammal na kati ya chaaro ragon ka aksar hissa na kata aur Jaanwar tadap tadap kar mar gaya to oh Jaanwar bhi haraam hai aur Qurbaani bhi nahin hui, is masla se bahut se log gaafil hain.
⭕ TAMBEEH ⭕
Ba'z murgi wagirah ki dukan men dekha gaya keh qassaab waqt e zabah murgi ke gale pe chhuri phiraate hain sirf chamdi hi kati hoti hai sab ragen nahin kati hoti keh kisi drum wagairah men daal dete hain taakeh rooh nikal jaaye,
Aise mein agar 3 rag mukammal katne se pahle ya chaaro rago ka aksar hissa katne se pahle aisa kiya aur murgi tadap tadap kar mar gayi to oh murgi Haraam hai.
⭕ TAMBEEH ⭕
Ba'z logo men ye mashhoor hai keh bakra dedh salla yani gale par dedh martaba chhuri phirane men hi zabah ho jaana chahiye is ki bhi koi asl nahin yunhi gaaye bail wagiarah ke gale pe dhaai salla yani dhaai martaba chhuri phirane men hi zabah ho jaana chahiye iski bhi koi asl nahin,
Balkeh agar dedh martaba bakri ke gale pe aur dhaai martaba bail ke gale pe chhuri phiraaya aur 3 ragen mukammal nahin kati ya chaaro ragon ka aksar hissa nahin kata aur Jaanwar tadap tadap ke mar gaya oh Jaanwar bhi haraam hai aur Qurbaani bhi nahin hui,
Balkeh chaaro ragon ke kaatne ka hukm hai to ye chaaro ragen jitni martaba chhuri phirane se kate kaatna zaroori hai agar 1 hi martaba phirane men chaaro ragen kat jaayen halaal hai ya 10 martaba phirane men kate har haal men charo ragon ka katna zaroori hai.
📕»» FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB - MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003
📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html