_____________________________________
✴️ MASAAIL E FIQHIYYAH ✴️
QURBAANI KI TA'REEF:- Makhsoos janwar ko makhsoos din men baniyyat e taqarrub zabah karna qurbani hai.
#(Bahar e shari'at)
✳QURBAANI KI QISMEN✳
Qurbaani ki kayi qismen hain-
1). Gani aur faqeer dono par wajib hai is ki soorat ye hai keh qurbani ki mannat maani ye kaha keh allah ke liye mujh par bakri ya gaaye ki qurbaani karna hai ya is bakri ya gaaye ki qurbani karna hai.
#(Bahar e shari'at)
2). Faqeer par wajib ho gani par wajib na ho is ki soorat ye hai keh faqeer ne qurbaani ke liye janwar khareeda us par us jaanwar ki qurbaani wajib hai aur agar gani khareedta to is khareedne se qurbaani us par wajib na hoti
#(Bahar e shari'at)
3). Gani par wajib ho faqeer par wajib na ho is ki soorat ye hai keh qurbaani ka wujoob na khareedne
se ho na mannat maanne se balkeh khuda ne jo use zindah rakha hai us ke shukurya men aur hazrat ibraahim عليه السلام ki sunnat ki ihya men jo Qurbaani wajib hai oh sirf gani par hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Musafir pe Qurbaani wajib nahin agar musafir ne Qurbaani ki tataww'u (nafl) hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Faqeer ne agar na mannat maani ho na Qurbaani ki niyyat se Jaanwar khareeda ho to uska Qurbaani karna bhi tataww'u (nafl) hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Bakri ka maalik tha aur uski Qurbaani ki niyyat kar li ya khareedne ke waqt Qurbaani ki niyyat na thi ba'd men niyyat kar li to is niyyat se Qurbaani wajib nahin hogi.
#(Bahar e shari'at)
📕»» FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB - MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003
📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html