_____________________________________
❇️ QURBAANI KA WAQT ❇️
HADEES:- Hazrat e barraa رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge oh ye hai keh namaz padhen phir is ke ba'd Qurbaani karenge,
Jis ne aisa kiya us ne hamari sunnat (tareeqa) ko paa liya aur jis ne pahle zabah kiya oh gosht hai jo us ne pahle se apne ghar walon ke liye tayyaar kar liya.
Qurbaani se use kuchh ta'alluq nahin abu burdah رضى الله تعالى عنه kahde huye aur ye pahle hi zabah kar chuke the (is khayal se keh pados ke log gareeb the unhon ne chaha keh unko gosht mil jaaye ) aur arz ki,
Ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم mere paas bakri ka 6 maah ka ek bachcha hai Faramya tum use zabah kar lo aur tumhare siwa kisi ke liye 6 maaha bachcha kifayat nahin karega.
#(Bukhari)
MASLAH:- Qurbaani ka waqt daswen zihijjah ke tulu e subh e saadiq se baarahwen ke gurub e aaftaab tak hai, yani 3 din 2 raaten.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Daswen ke ba'd ki dono raaten ayyaam e nahar mem daakhil hain un men Qurbaani ho
sakti hai magar raat mem Qurbaani karna makrooh hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Pehla din yani daswen tareekh sab men afzal hai phir giyarahwen aur pichhla din yani baarahwen sab se kam darjah hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Ayyaam e nahar men Qurbaani karna itni qeemat ke sadqa karne se afzal hai .
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Wujoob ki soorat men bagair Qurbaani kiye uhda baraa nahin ho sakta.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Shahar men Qurbaani ki jaaye to shart ye hai keh namaz ho chuke lihaza namaz e eid se pahle shahar men Qurbaani nahin ho sakti.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Dehaat men chunkeh namaz e eid nahin hai yahan tulu e fajr ke ba'd se hi Qurbaani ho sakti hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Dehaat men bihtar ye hai keh ba'd e tulu e aaftaab Qurbaani ki jaaye.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Shahar men bihtar ye hai keh eid ka khutbah ho chukne ke ba'd Qurbaani ki jaaye.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Namaz ho chuki hai aur abhi khutbah nahin hua hai is soorat men Qurbaani ho jaayegi magar aisa karna makrooh hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Ye jo shahar aur dehaat ka farq batataya gaya hai ye maqam e Qurbaani ke lihaz se hai Qurbaani karne wale ke ietebaar se nahin yani dehaat men Qurbaani ho to oh waqt hai agarcheh Qurbaani karne wala shahar men hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Shahar men ho to namaz ke ba'd ho agarcheh jis ki taraf se Qurbaani hai oh dehaat mein ho.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Shahar men aadmi agar ye chaahta hai keh subah hi namaz se pahle Qurbaani ho jaaye to Jaanwar dehaat men bhej de.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Agar shahar men muta'addad jagah eid ki namaz hoti ho to pahli jagah namaz ho chukne ke ba'd Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Imam abhi namaz hi men hai aur kisi ne Jaanwar zabah kar liya agarcheh imam qa'da men ho aur baqadr e tashahhud baith chuka ho magar abhi salam na phera ho to Qurbaani nahin hui.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Agar imam ne ek taraf salam pher liya hai dosri taraf baaqi tha keh us ne zabah kar diya Qurbaani ho gayi.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Ayyaam e nahar guzar gaye aur jis par Qurbaani wajib thi us ne nahin ki hai to Qurbaani faut ho gayi ab nahin ho sakti agar usne Qurbaani ka Jaanwar mu'ayyan kar rakha hai maslan mu'ayyan Jaanwar ke Qurbaani ki mannat maan li hai oh shakhs gani ho ya faqeer bahar soorat usi mu'ayyan Jaanwar ko zindah sadqa kare aur agar zabah kar daala to saara gosht sasqa kare us men se kuchh na khaye aur agar kuchh kha liya hai to jitna khaya hai uski qeemat sadqa kare aur agar zabah kiye huye Jaanwar ki qeemat zindah Jaanwar se kuchh kam hai jitni kami hai use bhi sadqa kare.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Faqeer ne Qurbaani ki niyyat se Jaanwar khareeda aur Qurbaani ke din nikal gaye chunkeh us par bhi usi mu'ayyan Jaanwar ki Qurbaani wajib hai lihaza us Jaanwar ko zindah sadqa kar de.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Ye zaroori nahin keh daswen hi ko Qurbaani kar daale Us ke liye gunjaaush hai keh poore waqt men jab chahe kare.
#(Bahar e shari'at)
📕»» FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB - MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003
📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html