Sawal:-  Peer Ya Murshid Ki Pehchaan Kaise Kiya Jaaye Ki Ye Peer Sahab Neq Hain Ya Sirf Dikhawa Hai ?

Jawab:-  Jis Peer Mein Ye 4 Sharten Maujood Hon Wo Sahih Peer Hai Aur Usse Mureed Hona Jaayez ~

Huzoor Sadrushshari'ah Badruttariqah عليه الرحمة والرضوان Irshad Farmate Hain -

Jab Mureed Hona Ho To Achhi Tarah Tafteesh Kar Len Warna Agar Badmazhab Hua To Eemaan Se Bhi Haath Dho Baithenge.

💢 peeri Ke Liye 4 Sharten Hain Qabl Az Bai'at Unka Lihaaz Farz Hai-

1).
Sunni Sahihul Aqeedah Hona.

2). Itna Ilm Rakhta Ho Kee Apni Zaroorat Ke Masaail Kitaabon Se Nikaal Sake.

3). Faasiq E Mu'lim Na Ho.

4). Uska Silsilah Nabi صلی اللہ تعالی عليه وسلم Tak Muttasil Ho.

#(Bahar E Shari'at, Hissa-1, Safah-79 )
والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html