Sawal:- Kya Shaf'ee Imam Ke Peechhe Namaz Ho Jaayegi ?

Jawab:- Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi رضي الله تعالي عنه Se Sawal Hua Kee Hanfi Shaf'ee Ke Peechhe Namaz Padhe To Jaayez Hai Kee Nahin Aur Agar Shaf'ee Namaz Padha Raha Hai Aur Hanfi Aaya To Jama'at Mein Shareek Ho Ya Nahin

Jawab Mein Irshad Farmate Hain-
♻Agar Shaf'ee Taharat O Namaz Mein Faraiz O Arkaan E Mazhab E Hanfi Ki Ri'aayat Karta Hai Us Ke Peechhe Namaz Bila Karahat Jaayez Hai Agarche Hanfi Ke Peechhe Afzal Hai Aur Agar Haal E Ri'aayat O Adam E Ri'aayat Ma'loom Na Ho To Qadr E Karahat Ke Saath Jaayez Aur Agar Aadat E Adam E Ri‘Aayat Ma'loom Ho To Karahat Shadeed Hai Aur Agar Ma'loom Ho Kee Khas Is Namaz Mein Ri'aayat Na Ki To Hanfi Ko Uski Iqteda Jaayez Nahin Uske Peechhe Namaz Na Hogi Soorat E Awwal O Dom (Ya'ni Pahli Aur Dosri Soorat) Mein Shareek Ho Jaaye Aur Soorat E Som (Ya'ni Tisri Soorat) Mein Sharik Na Ho Aur Chaharum (Ya'ni Chauthi Soorat) Mein To Namaz Hi Batil Hai.
#(Fatawa Razviyya, Jild- 3, Safah- 228)
💢 Lihaza Agar Zaid Ko Ma'loom Hai Kee Shaf'ee Imam Mazhab E Hanfi Ke Sharaait O Faraaiz Ki Ri'aayat Taharat O Namaz Mein Karta Hai To Uske Peechhe Namaz Padhe Aur Agar Kuchh Na Ma'loom Ho To Bhi Iqteda Kar Le Aur Agar Ma'loom Ho Keh Ri'aayat Nahin Karta Hai To Iqteda Na Kare Aur Agar Iqtida Karli Hai To Phir Se Padhe Aur Agar Yaqeen Hai Kee Ri'aayat Nahin Kiya Maslan Dekh Liya Hai Kee Mazhab E Hanfi Mein Jo Chizen Farz Hain Un Mein Se Koi Farz Ada Nahin Kiya Maslan Chauthai Sar Ka Masah Nahin Kiya Sirf Kuchh Baal Bhiga Liya To Aisi Soorat Mein Uske Peechhe Hanfi Ki Namaz Nahin Huyi Aisi Namazon Ko Phir Se Padhna Zaid Par Farz Hai.

♻Hanfi Ko Hanfi Imam Ki Iqtida Karni Chahiye Kee Ye Afzal Hai.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html