_____________________________________

نحمده و نصلي و نسلم على رسوله الكريم

Qurbaani hazrat saiyyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi صلى الله تعالى عليه وسلم ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya -

فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ

Tum apne rabb ke liye namaz padho aur qurbaani karo.

📜Surah E Kausar, Aayat 2


✴️ AHAADEES E KAREEMA ✴️

1). Ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin Aur woh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo.

#(Abu daaud/Tirmizi/Ibn e Maajah)


2). Hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi.

#(Tibraani)


3). Hazrat abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riyawat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya jo rupiya eid ke din qurbaani men kharch kiya gaya us se ziyadah koi rupiya piyara
nahin.

#(Tibraani)


4). Hazrat e Abu hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis men us'at ho aur qurbani na kare oh hamari eid gaah ke qareeb na aaye.

#(Ibn E Maajah)


5). Hazrat e Zaid bin arqam رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh sahaba kiram ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم ye qurbaaniya kiya hai farmaya keh tumhare baap ibraahim عليه السلام ki sunnat hai logo ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم hamare liye is men kiya sawab hai farmaya har baal ke muqabil neki hai arz ki aur uoon ka kiya hukm hai farmaya keh uoon ke har baal ke badle men neki hai.

#(Ibn E Maajah)


6). Hazrat barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi e kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge oh ye hai keh namaz padhenge aur phir qurbaani karenge.

#(Bukhari)


7). Hazrat e barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya keh aaj ke din jo kaam ham ko pahle karna hai oh namaz hai aur is ke ba'd qurbaani karna hai jis ne aisa kiya oh hamari sunnat ko pahuncha.

#(Imam ahmad)


📕»»  FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB -  MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI 
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003

📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html