_____________________________________
QURBAANI KE JAANWAR MEN AIB KA BAYAAN
MASLAH:- Qurbaani ke Jaanwar ko aib se khaali hona chaahiye aur thoda sa aib ho to Qurbaani ho jaayegi magar makrooh hogi aur ziyadah aib ho to hogi hi nahin.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis ke paidaashi sing na ho to uski Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Agar sing tha magar toot gaya aur meng (gooda) tak toota hai to jaayez nahin is se kam toota hai to jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis Jaanwar men junoon (paagalpan) hai aur is hadd ka hai keh oh Jaanwar charta bhi nahin hai to uski Qurbaani naajaayaz hai aur is hadd ka nahin hai to jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Khassi yani jiske khusiye nikaal liye gaye hon ya majboob yani jis ke khusiye aur uzu e tanaasul sab kaat liye gaye hon unki Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Itna boodha keh bachcha ke qabil na raha ya daaga hua Jaanwar ya jiske doodh na utarta ho in sab ki Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Kharishi Jaanwar ki Qurbaani jaayez hai jabkeh farbah (mota) ho.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Aur itna laagar (dubla) ho keh haddi men magz na raha to Qurbaani jaayez nahin.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Bhenge Jaanwar ki Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Andhe Jaanwar ki Qurbaani jaayez nahin.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Kaana jiska kaanapan zaahir ho uski Qurbaani naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Langda jo Qurbaangaah tak apne paaun se na jaa sake aur itna beemaar jiski baamaari zaahir ho aur jiske kaan ya dum ya chakki kate hon yani oh uzu tihaai se ziyadah kate hon un sab ki Qurbaani naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Agar kaan ya dum ya chakki tihaai ya is se kam kati ho to jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis Jaanwar ke paidaaishi kaan na hon ya 1 kaan na ho uski Qurbaani naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis ke kaan chhote hon uski Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis Jaanwar ki tahaai se ziyaadah nazar jaati rahi uski bhi Qurbaani naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis ke daant na ho uski Qurbaani naajaayez hai *(Yani jis ke daant jhad gaye hon).*
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Qurbaani ke Jaanwar ka daanta hona zaroori nahin agar umar poori ho to agarcheh daanta na ho uski Qurbaani jaayez hai.
MASLAH:- Jis ke than kate hon ya khushk hon uski Qurbaani naajaayez hai bakri men 1 ka khushk hona naajaayez hone ke liye kaafi hai aur gaaye , bhains men 2 khushk hon to naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis ki naak kati ho ya ilaj ke zarye uska doodh khush kar diya ho aur khunsa Jaanwar yani jis men narr o maadah dono ki alamaten hon aur jallalah jo sirf galeez khata ho un sab ki Qurbaani naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Bhed ya dumbah ki uoon (baal) kaat li gayi ho uski Qurbaani jaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jis Jaanwar ka 1 paaun kaat liya gaya ho uski Qurbaani naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Jaanwar ko jis waqt khareeda tha us waqt us men aisa aib na tha jiski wajah se Qurbaani naajaayez hoti hai ba'd men oh aib paida ho gaya to agar oh shakhs maalik e nisaab hai to dosre Jaanwar ki Qurbaani kare aur agar maalik e nisaab nahin hai to usi ki Qurbaani kar le ye us waqt hai keh us faqeer ne pahle se apne zimmah Qurbaani wajib na ki ho aur agar us ne mannat maani hai keh bakri ki Qurbaani karunga aur mannat poori karne ke liye bakri khareedi us waqt bakri men aib na tha phir paida ho gaya is soorat men faqeer ke liye bhi yahi hukm hai keh dosre Jaanwar ki Qurbaani kare.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Faqeer ne jis waqt Jaanwar khareeda tha us waqt us men aisa aib tha jis se Qurbaani naajaayez hoti hai aur oh aib Qurbaani ke waqt tak baaqi raha to uski Qurbaani kar sakta hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Gani aibdaar khareede aur aibdaar hi ki Qurbaani kare to naajaayez hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Qurbaani karte waqt Jaanwar uchhla kooda jiski wajah se aib paida ho gaya ye aib muzir nahin yani Qurbaani ho jaayegi aur agar uchhalne koodne se aib paida ho gaya aur wo chhoot kar bhaag gaya aur fauran pakad laaya gaya aur zabah kar diya gaya jab bhi Qurbaani ho jaayegi.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Agar aibi Jaanwar ko khareeda tha aur ba'd men uska aib jaata raha to gani aur faqeer dono ke liye uski Qurbaani jaayez hai maslan aisa laagar (dubla) Jaanwar khareeda jiski Qurbaani naajaayez hai aur uske yahan oh farbah ho gaya to gani bhi uski Qurbaani kar sakta hai.
#(Bahar e shari'at)
MASLAH:- Bakra jo khassi nahin hota oh aksar peshaab peene ka aadi hota hai us men aisi sakht badboo paida ho jaati hai keh jis raasta se guzarta hai oh raasta kuchh der ke liye badboodaar ho jaata hai uska bhi wahi hukm hai jo jallalah ka hai keh agar uske gosht se badboo daf'a ho gayi to kha sakte hain warna makrooh o mamnoo' hai.
#(Bahar e shari'at)
⚠Chunkeh jallalah ki Qurbaani jaayez nahin hai lihaza jo log aise bakre ki Qurbaani karte hain jo peshaab peeta ho un par zaroori hai keh aise bakre ko itne din is tarah baandh kar rakhen keh peshaab na pi sake aur uske jism aur gosht se badboo rafa' jo jaaye.
MASLAH:- Jaanwaro ko aapas men ladaana naajaayez o haraam hai.
✳HADEES shareef men hai rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne chaupaayon ko ladaane se mana farmya.
#(Bahar e shari'at)
🔆FAAIDAH:- Ba'z log Qurbaani ke ayyaam se pahle hi bakre khareed lete hain aur tafreehan unhen aapas men ladaate hain aisa karna jaayez nahin keh is men un bezabaan Jaanwaro ko eezaa dena hai, aise tamaasho men shirkat bhi jaayez nahin.
📕»» FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB - MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003
📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html