_____________________________________

⚡QURBAANI KA TAREEQA⚡

HADEES:- Hazrat e jaabir رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne zabah ke din 2 mendhe singh wale chitkabre khassi kiye huye zabah kiye jab unka munh qibla ko kiya ye padhen

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ
وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Is ko padh kar zabah farmaya ek riwayat men hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne ye farmaya keh ilahi ye meri taraf se hai aur meri ummat men uski taraf se hai jis ne Qurbaani nahin ki.

#(Abu daaud/Ibn e Maajah)


HADEES:- Hazrat anas رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareem
صلى الله تعالى عليه وسلم
Ne 2 mendhe chitkabre sing walo ki Qurbaani ki unhen apne dast e mubarak se zabah kiya aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha, kahte hain main ne huzur ko dekha keh apna paaun un ke pahluon par rakha aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha.

#(Bukhari/Muslim)


MASLAH:-  Ye shubah keh ek mendha un sab ki taraf se kiyon kar ho sakta hai ya jo log abhi paida hi na huye unki Qurbaani kiyon kar hui iska jawab ye hai keh ye huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke khasaais se hai jis tarah huzur ne 6 mahine ki bakri ke bachchah ki Qurbaani abu burdah رضى الله تعالى عنه ke liye jaayez farma di auron ke liye uski mumana'at kar di isi tarah is men khud huzur ki khususiyyat hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Qurbaani ka tareeqa ye hai keh Jaanwar un sharaait ke muwafiq hon jo mazkoor hui yani jo us ki umr baatai gayai us se kam na ho aur un uyoob se paak ho jinki wajah se Qurbaani naajaayez hoti hai aur bihtar ye keh umdah o farbah ho Qurbaani se pahle use chaarah paani de den
yani bhooka piyasa zabah na karen aur ek ke saamne dosre ko zabah na karen aur pahle se chhuri tez kar len aisa na ho keh Jaanwar girane ke ba'd uske saamne chhuri tez ki jaaye Jaanwar ko baayen pahlu par is tarah litaayen keh qiblah ko uska munh ho aur apna daahina paaun uske pahlu par rakh kar tez chhuri se jald zabah kar diya jaaye aur zabah se pahle ye dua padhi jaaye

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ
وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر
  
Ise padh kar zabah kar de Qurbaani apni taraf se ho to zabah ke ba'd ye dua padhe

اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّىْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيْلِكَ اِبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِ السَّلَام وَ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللّٰه تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ 

Is tarah zabah kare keh chaaro ragen kat jaayen ya kam se kam 3 ragen kat jaayen is se ziyadah na kaaten keh chhuri gardan ke muhra tak pahunch jaaye keh ye be wajah ki takleef hai phir jab tak Jaanwar  thanda na ho jaaye yani jab tak uski rooh bilkul na nkkal jaaye uske paaun wagairah na kaate na khaal utaare aur agar dosre ki taraf se zabah karna hai to  مِنِّىْ ki jagah مِن Ke ba'd uska name le aur agar  oh mushtarak Jaanwar hai jaise gaaye,  oont to wazan se gosht taqseem kiya jaaye mahaz takhmeena (andazah) se taqseem na karen.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Qurbaani karne wala baqra'eed ke din  sab se pahle Qurbaani ka gosht khaye is pahle koi dosri chiz na khaye ye mustahab hai.

#(Bahar e shari'at)


🔆FAAIDAH:- Ahadees se saabit hai keh saiyyid e aalam صلى الله تعالى عليه وسلم ne is ummat e marhooma ki taraf se Qurbaani ki ye huzur ke be shumaar altaaf men se ek khaas karam hai keh is moqa par bhi ummat ka khiyaal farmaya aur jo log Qurbaani na kar sake unki taraf se khud hi Qurbaani ada farmaai jab huzur ne ummat ki taraf se khud Qurbaani ki to jo musalman saahib e isteta'at ho agar huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke name ki ek Qurbaani kare to zahe naseeb aur bihtar sing wala mendha hai jis ki siyaahi men safaidi ki bhi aamezish ho jaise mendhe ke khud huzur akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne Qurbaani farmaai.

#(Bahar e shari'at)


📕»»  FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB -  MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI 
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003

📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html