_____________________________________
✳️ JO SAAHIB E ISTETA'AT NA HO USKI QURBAANI ✳️
HADEES:- Hazrat e abdullah bin umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya mujhe yaum e azha ka hukm diya gaya us din ko khuda ne is ummat ke liye eid banaya ek shakhs ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم ye bataaiyen agar mere paas meenha ke siwa koi Jaanwar na ho to kiya uski Qurbaani kar dun (menha us janwar ko kahte hain jo dosre ne use is liye diya hai keh kuchh dino uske doodh wagairah se faaidah uthaye aur phir maalik ko wapas kar de).
Huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya nahin Haan tum apne baal aur naakhun tarashwaao aur moye zer e naaf mundo is men tumhari Qurbaani khuda ke nazdeek poori ho jaayegi yani jisko Qurbaani ki taufeeq na ho to use in chizo ke karne se Qurbaani ka sawab haasil ho jaayega.
#(Abu daaud, nasai)
✴️BAAL O NAAKHUN KATWANE KA HUKM✴️
HADEES:- Ummul mumineen umm e salama رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ni zilhijjah ka chaand dekh liya aur uska iraadah Qurbaani ka hai to jab tak Qurbaani na kar le baal o naakhuno se na le yani na tarashwaye.
#(Muslim / tirmizi / nasai)
MASLAH:- Jis ko Qurbaani karne ka iradah ho us ke liye mustahab hai keh zilhijjah ka chaand dekhne ke ba'd naakhun baal wagairah na kaate.
MASLAH:- Agar kisi shakhs ne (31) din se kisi uzr ke sabab, khwah bila uzr naakhun na tarashe
hon, khat banwaya na ho keh chaand zilhijjah ho gaya to agarcheh Qurbaani ka iradah rakhta ho is mustahab par amal nahin kar sakta keh ab daswen tak rakhega to naakhun o khat banwaye huye ektaaliswan (41) din ho jaayega aur 40 din se ziyadah na banwana gunaah hai
Fe'l e mustahab ke liye gunaah nahin kar sakta.
#(Fatawa razviyyah jild 8 safah 358)
MASLAH:- Jise dosre ya teesre din Qurbaani karni hai us ke liye bihtar hai keh oh dosre ya teesre din Qurbaani ke ba'd naakhun o baal wagairah kaate.
MASLAH:- Eid ki namaz ke ba'd aur Qurbaani se pahle naakhun baal wagairah katwa liya to is men bhi harj nahin.
📕»» FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB - MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003
📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html