_____________________________________

QURBAANI KE WAJIB HONE KE SHARAAIT

1). ISLAM:- Yani gair muslim pe Qurbaani wajjb nahin.

2). IQAAMAT:- Yani muqeem hona musaafir par wajib nahin.

3). TAWANGARI:- Yani maalik nisaab hona yahan maaldaari se murad wahi hai jis se sadqa e fitr wajib hota hai oh murad nahin jis se zakat wajib  hoti hai. Nisab ki tafseel nisab ke bayan men mulahaza farmaye

4). HURRIYYAT:- Yani aazad hona jo aazad na ho us pe Qurbaani wajib nahin keh gulam ke paas  maal hi nahin lihaza ibadat e maaliya us pe wajib nahin.

_*#(Bahar e shari'at)*_


⚠ FAAIDAH:-

Mard hona is ke liye shart nahin auraton par wajib hoti hai jis tarah mardon par wajib hoti hai is ke liye buloog shart hai ya nahin is men ikhtelaf hai aur naabalig par wajib hai to aaya khud uske maal se Qurbaani ki jaayegi ya uska baap apne maal se Qurbaani karega.

Zaahirurriwayah ye hai keh na khud naabaalig par wajib hai na uski taraf se uske baap par wajib hai aur isi par fatwa hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Musafir par agarcheh wajib nahin magar nafl ke taur par kare to kar sakta hai sawab
paayega.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Hajj karne wale jo musafir ho un par Qurbaani wajib nahin aur muqeem ho to wajib hai jaise makkah ke rahne wale hajj karen to chunkeh ye musafir nahin yaa jo log makkah mu'azzamah itne din pahle pahunche keh mina rawana hone men 15 ya is se ziyadah din baaqi hon yeh log muqeem hain un par wajib hogi.


MASLAH:- Sharaait ka poore waqt mein paaya jaana zaroori nahin balkeh Qurbaani ke liye jo waqt muqarrar hai uske kisi hissa men sharaait ka paaya jaana wujoob ke liye kaafi hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Ek shakhs ibteda e waqt e Qurbaani men kafir tha phir musalman ho gaya aur abhi Qurbaani ka waqt baaqi hai us par Qurbaani wajib hai jab keh dosre sharaait bhi paaye jaayen.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Awwal waqt men musafir tha aur asna e waqt men muqeem ho gaya us par bhi Qurbaani wajib hogi.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Faqeer tha aur waqt ke andar maaldaar ho gaya us par bhi Qurbaani wajib hai.

#(Bahar e shari'at)


📕»»  FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
--------------------------------------------------------
📝 MURATTIB -  MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI 
Khadimul Ifta Razvi Amjadi darul Ifta 50 / Qazi street Mumbai 400003

📌 Click Here for Other Parts ⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/qurbani-ka-bayan.html