بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

☪Sahabi Kehte Kisko Hai ?

🏵Sahabi Woh Khushnasib Momin Hai Jinhone Imaan Wa Hosh Ki Halaat Me Ek Nazar Huzoor Nabi E Rahmat صلى الله عليه وسلم ko Dekha Ya Unhe Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sohbaat Naseeb Huwi Ho Phir Imaan Par Khatmaa Bhi Naseeb Huwa Ho.

Masla 01 :

🏵Hazrat Sayyidna Abdullah Ibn Maktoom رضي الله عنه Aap Nabina The Chunki Aapne Jahiri Aankh Se Huzoor Nabi E Rehmat صلى الله عليه وسلم Ka Deedar Naa Kiya Par Huzoor Nabi E Rehmat صلی اللہ علیہ و سلم Ki Sohbat Mili To Ye Bhi Sahabi Huwe.

Masla 02:

🏵Sahabi Hone K Liye Imaan Par Khatma Shart Hai Jo Log Pehle Imaan waale the baad Me Murtad Huwe Aur Musailma Kazzab Par Imaan Le Aaye Wo Sahabi Nahi Hai.

Masla 03 :

🏵Kisi Buzurg Ne Khwab Me Bajahir Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم K Wisaal k baad
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko dekha Aur Imaan Pe Khatma Bhi huwa wo bhi sahabi naa kehlaynge.

Masla 04 :

🏵Sahabi Sirf wo hoga jo Aaqa صلی اللہ علیہ و سلم ki jaahir zindgi me deedar kare yaa sohbat mile aur imaan pe khatma ho.

☪Sahabi Hone ki do ahem shart hai-
1⃣Khatma Bil Khair Imaan ki halaat Me Aur Deedar E Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ho.

2⃣Khatma Bil Khair Imaan ki halaat Me Aur Sohbat E Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Mile.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/fazail-e-sahaba.html