✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________
Hamari Namaz Sahi Tab Hogi Jab Wazu Sahi Hoga, Wazu Sahi Tab Hoga Jab Hamara Gusl Sunnat Ke Mutabiq Hoga.
Hum Me Aksar Logo Ko Alhamdulillah Wazu Gusl Namaz Ka Mukammal Tariqa To Malum Hai Magar Jab Napak Chiz Badan Ya Kapde Par Lage To Kya Kapda Ya Badan Pura Napak Hoga Ya Sirf Utne Hi Hisse Ko Dhone Se Wo Pak Hoga?
Aur Wo Kaunsi Nijasat (Gandagi) Hai Jiske Lagne Se Badan Ya Kapde Ke Us Hisse Ka Pak Karna Zaroori Hai Ye Bhi Pata Hona Chahiye.
Dekhiye Jis Tarah Namazi Ke Badan Ka Pak Hona Zaroori Hai Usi Tarah Uske Kapde Aur Us Jagah
Ka Pak Hona Bhi Zaroori Hai Jispe Namaz Padh Raha Hai.
Ise Tafseel Se Samajhte Hain,
Najasat 2 Type Ki Hai-
1=> Najasate GALEEZAH (Sakht Napak)
2=> Najasate Khafifah (Kam Napak)
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html