✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________
Mas'ala:
Jise Najasate Galizah Kehte Hain Uska Hukm Ye Hai Ki Agar Wo Kapde Ya Badan Pe 1 Dirham Se Ziyadah Lage To Uska Paak Karna Zaroori Hai Bepak Kiye Uspe Namaz Hogi Hi Nahi.
Agar Qasdan Padhi To Gunehgar Hua Aur Ba-Niyyate Istekhfafa (Namaz Ko Halka Jaan kar) Padha To Kafir Hua.
Aur Agar Najasate Galiza 1 Dirham Ke Barabar Hai To Kapde Ya Bada Ko Pak Karna Wajib Hai.
Aise Surat Me Namaz Padhi To Dhorana Wajib Hai.
Agar Dirham Se Kam Lagi Hai To Aisi Surat Me Kapde Ya Badan Ka Pak Karna Sunnat Hai.
Agar BePak Kiye Namaz Padha To Ho Gai Magar Sunnat Ke Khilaf Aisi Namaz Ka Dohrana Behtar Hai.
{بھارشریعت، حصہ/۲/صفحہ/۳۸۹}
Mas'ala:
Najasat Agar Garhi (MOTI) Hai Jaise Gobar Pakhana Ya Leed To Dirham Ke Wazan Ka Aitebar
Hoga.
Agar Patli Hai Jaise Aadmi Ka Peshab Sharab Mani Khoon Wagera To Dirham Ki Lambai Chaodai Ka Aitebar Hai.
Dihram Ko Aise Samjhen-
Aap Apni Hateli Pe Paani Rakhen Aur Use Khoob Phailayen Jitna Paani Ruk Jaye Hateli Pe Wo Dirham Hai.
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html