✒Chapter- 1 " ISTINJE KA BAYAN "
_____________________________________


Mas'ala:

Jab Tak Baithne Ke Qareeb Na Ho Badan Se Kapda Na Hataye Aur Na Hajat Se Ziyadah Badan Khole, Phir Dono Paon Kushdah Kar Ke Ulte Paon Pe Zor De Kar Baithe, Kisi Deeni Masle Par Gaor Na Kare Ki Ye Baise Mehroomi Hai.

Chheenk Ya Salam Ya Azan Ka Jawab Zaban Se Na De, Aur Agar Chinke To Zaban Se Alhamdulillah Na Kahe, Dil Me Keh Le, Aur Bagair Zaroorat Apni Sharmgah Na Dekhe Aur Na Us Gandagi Ko Dekhe Jo Badan Se Nikli Hai.

Der Tak Na Baithe Isse Bawaseer Ka Andesha Hai, Aur Peshab Me Na Thuke Na Nak Saf Kare Na Bila Zarurat Khinkhare Na Bekar Me Baar Baar Badan Ko Chuye Na Aasman Ki Taraf Nigah Kare Balki Sharm Se Sar Jhukaye Rahe.

Jab Farig Ho Jaye To Mard Apne Aale Ki Jad Se Sire Tak Ulte Hath Se Ruke Huye Qatre Nikale,
Phir Dhele Se Saaf Kare Ya Paani Se Dhul Le.

Phir Sidhe Hath Se Pani Dale Aur Ulte Hath Se Dhoye Aur Pani Ka Lota Uncha Rakhe Taki Chinten Badan Pe Na Pade Aur Pehle Peshab Ka Maqam Dhoye Phir Pakhane Ka Maqam. Pakhane Ka Maqam Dhulte Waqt Saans Ka Zor Niche Kare Taki Dheela Rahe Aur Khoob Achchi Tarah Dhoyen Dhone Ke Baad Hath Me Boo Baqi Na Rahe Is Liye Hath Kapde Se Poche Le Kapda Na Ho To Hath Pani Se Khoob Dhoye.

Jab Qatre Aana Band Ho To Khade Hone Se Pehle Badan Chupa Le.
📜{Fatawa Hindiyah, Jild-1, Page-50}

--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html