✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________
Mas'ala:
NAMAZ Padhte Me Jeb Me Koi Sheeshi Thi Jisme Peshab Ya Khoon Ya Sharab Hai To Namaz Nahi Hui.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-392}
Mas'ala:
Peshab Ki Bareek Chhiten Sooi Ki Nook Ke Barabar Agar Badan Ya Kapde Pe Lag Jaye To Badan Aur Kapda Dono Pak Hai, Aur Aisa Kapda Paani Me Mil Jay To Paani Bhi Pak Rahega.
{الفتاوٰی الھندیة، كتاب الطهارة، الباب السابع في نجاسةوأحكامها، الفصل الثاني، جلد-۱، صفحہ-۴۶}
Mas'ala:
Kisi Kapde Ya Badan Par Chand Jagah Najasate Galizah Lagi Hai Aur Kisi Jagah Dirham Ke Barabar Nahi, Magar Kul Mila Jaye To Dirham Ke Barabar Hoti Hai To Dirham Hi Samjha Jayga Aur Agar Ziyadah Hai To Ziyadah Hi Samajha Jayga, Najasate Khafifa Me Bhi Kul Milakar Hi Hukm Diya Jayga.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-393}
Mas'ala:
Raste Ki Keechad Pak Hai Jab Tak Uska Najis Hona Malum Na Ho, Agar Paon Ya Kapde Me Lagi Aur Be-Dhoye Namaz Padh Lee To Ho Gai Magar Dho Lena Behtar Hai. Yun Hi Sadak Pe Paani Chidka Ja Raha Uski Chiten Ud Kar Lagi To Kapda Ya Badan Napak Na Hoga Magar Dho Lena Behtar Hai.
{الدرالمختار" و "ردالمحتار" کتاب الطھارة، مطلب في العفو عن طين الشارع، جلد-۱، صفحہ-۵۸۳}
Mas'ala:
Aadmi Ki Khal Agar Thode Paani Me (Agar Bade Paani Me Gire Jaise Dah Dardah Haoz Ya Talab Nadi Etc Me To Napak Na Hoga) Gir Jaye To Wo Napak Ho Gaya Agar Che Khal Nakhun Ke
Barabar Thi.
{منیةالمصلی" بیان النجاسة، صفحہ-۱۰۸}
Mas'ala:
Kutta Badan Ya Kapde Se Lag Jaye Agar Che Uska Badan Bheega Tha Kapda Aur Badan Pak Rahega, Haan Agar Uske Badan Pe Najasat Lagi Thi Ya Uska Thook Laga To Napak Ho Gaya.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-395}
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html