✒Chapter- 1 " ISTINJE KA BAYAN "
______________________________________
Mas'ala:
Jise Peshab Ke Baad Qatre Aane Ka Ehtemal Ho Uspe ISTIBRA Karna Wajib Hai.
Istibra Tahelne Se Hota Hai Ya Zameen Pe Zor Se Paon Mare Ya Unchi Jagah Niche Utre Ya Niche Se Upar Chadhe, Ya Itna Chale Ki Baqya Jame Qatre Nikal Jaye.
Istibra Ka Hukm Mardon Ke Liye Hai Aurat Ke Liye Hukm Hai Ki Hajat Se Faragat Ke Baad Thodi Der Ruk Kar Taharat Kare.
{الفتاوٰی الھندیہ. کتاب الطھارة، الباب السابع فی النجاسة وأحکامھا، الفصل الثالث' جلد/۳،صفحہ/۶۹}
Mas'ala:
Wazu Ke Bache Pani Se Taharat Karna Durust Nahi Aur Taharat Ke Bache Paani Se Wazu Kar Sakte
Hain Ise Phekna Nahi Chahiye Ye Israaf (Faltu Kharch) Hai.
{الفتاوٰی الرضویہ. جلد-۴، صفحہ-۵۷۵}
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html