✳Sawal:- Hamare Yahan Ek Gair Aalim Shaks Hai Jo Sahihul Aqeeda Mutasallib Sunni Hai, Lekin Uski Ek Baat Hame Confuse Kar Rahi Hai Uska Kehna Hai Ki Auliya Allah Ke Waseele Se Dua Karna Unke Mazar Par Haazri Dena Jayez O Mustahab Hai, Jaisa Ki Hum Tamaam Sunniyo Ka Aqeeda O Mamool Bhi Yahi Hai. Lekin Wo Yeh Kehta Hai Ki Unse Direct Madad Maangna "Yeh Meri Samajh Me Nahi Aata Etc."
Goya Ki Wo In Sab Muaamlaat Me Apne Qayaas Ko Apni Raaye Ko Tarjeeh De Raha Hai Aur Logo Ko Yeh Baate Bata Raha Hai Aur Log Mutaassir Bhi Ho Rahe Hain

Kya Uska Yeh Kehna/Maanna Durust Hai ?
Agar Nahi To Aise Shakhs Par Kya Hukme Shar'a Hoga ?


✴Jawab:- Direct Maangne Mein Bhi Harj Nahin.

Sunni Musalmano Ki Niyyat Ye Hargiz Nahin Hoti Keh Wo Sahib Mazar Ko Khuda Samajh Kar Maangte Hain Aur Na Hi Ye Khayal Keh Khuda Ki Ata Bagair Wo Ata Karte Hain Ye Sab Wahabiyo
Ka Ham Par Ilzam Hai Lihaza Wahabiyo Ke Is Fareb Mein Sunniyo Ko Aana Apna Eemaan O Aqeedah Khatre Mein Daalna Hai

Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi رضى الله تعالى عنه Mazar Shareef Pe Haaziri O Dua Ka Tareeqa Irshad Farmaye Hain Ise Apnaya Jaaye --

💢Mazaaraat E Shareefah Par Haazir Hone Mein
"Paainti (Qadmon) Ki Taraf Se Jaaye, Kam Az Kam Chaar (4) Haath Ke Faasley Par Mawajeh Mein Khada Ho, Aur Mutawassit Aawaaz
Ba Adab Salam Arz Karey.

السلام عليك يا سيدي و رحمةالله وبركاته

🌟Phir Durood E Gausiya 3 Baar, Alhamd Sharif 1 Martaba, Ayat Ul Kursi 1 Martaba, Sura E Ikhlas 7 Baar.

💢Phir Durood E Gausiya 7 Baar Aur Waqt Fursat De To Soorah Yaaseen O Soorah Mulk Bhi Padh Kar Allah Azza O Jall Se Dua Kare Keh Ilahi Is Qirat Par Mujhe Itna Sawab De Jo Tere Karam Ke Qaabil Hai Na Utna Jo Mere Amal Ke Qaabil Hai Aur Use Meri Taraf Se Is Banda E Maqbool Ko Nazr Pahuncha
Phir Apna Jo Matlab Jaayez Shar'ee Ho Us Ke Liye Dua Kare Aur Saahib E Mazaar Ki Rooh Ko Allah Azza O Jall Ki Baargaah Men Apna Waseela Qaraar De Phir Usi Tarah Salaam Kar Ke Waapas Aaye.

🌟Mazaar Ko Na Hath Lgaye Na Bosa Dey.

💢Tawaf Bil Ittefaq Na Jaaiz Hai Aur Sajda Haraam Hai.
#(Fatawa Rizwiya, Jild 4, Safah 212 /213)

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html