✳SAWAL:- Hamare Shahar Me Ek Masjid Hai Jisko Shaheed Karke Maujuda Masjid Ke Piche Ki Jagah Par Inshahallah Nayi Masjid Tameer Karne Ka Irada Hai. Maujuda Masjid Ki Jagah Par Wazukhana Aur Masjid Me Dakhil Hone Ki Jagah Hogi. Shariat Ka Kya Hukm Hai Ke Aaj Jis Jagah Ham Namaaz Ada Kar Rahe Hain Nayi Masjid Tameer Karne Ke Baad Us Jaghe Ko Wazukhana Aur Muktadiyo Ke Liye Aane Jane Ka Rasta Bana Sakte Hain Ya Nahi ? Baraye Karaam Wazahat Kàre'n.

✴JAWAB:- Jadeed Tameer Mein Masjid Ki Jagah Ko Wazu Khana Ya Raasta Banana Jaayez Nahin.

Masjid Ki Jagah Baaqi Rakhte Huye Uske Ird Gird Ki Zameen Masjid Mein Shamil Karen.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html