✳Sawal:- Sunnat E Maukidah Aur Sunnt E Gair Maukidah Me Fark Kya Hai ❓ Din Bhar Ki Namazo'n Me Sunnate Maukidah Aur Gair Maukidah Kaun-Kaun Si Hain ❓

✴Jawab:- Sunnat E Muakkidah Ada Karna Zaroori Hai Aur Sunnat E Gair Muakkidah Ka Ada Karna Zaroori Nahin.

1). Fajar Ke Pahle Wali 2 Rakat Sunnat Muakkidah Hai.

2). Zuhar Ki Pahli 4 Rakat Phir Farz Ke Ba'd Ki 2 Rakat Ye Dono Muakkidah Hain.

3). Asar Kee 4 Rakat Sunnat Gair Muakkidah Hai.

4). Magrib Ke Farz Ke Ba'd Ki 2 Rakat Muakkidah Hai

5). Isha Ki Pehli 4 Rakat Gair Muakkidah Hai Farz Ke Ba'd Ki 2 Rakat Muakkidah Hai.

6). Juma Ke Pahle Ki 4 Rakat Aur Ba'd Ki 4 Rakat Dono Muakkidah Hain.

🌟Tafseel Ke Liye Bahar E Shariat Hissa-4 Ka Mutala Karen.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html