✳Sawal:- Hatheli Ke Lakhiraon Ko Dekh Kar Zindagi Ke Bare Main Bolna Kaisa? Iski Kuch Haqeeqat Hai Ya Nahi?

✴Jawab:- Sayyedi Alahazrat رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہ irshad farmate hain kee--

Kahino aur jotishio se hath dikha kar taqdeer ka bhala bura daryaft karna agar ba taur e eteqad (us par aqeeda rahte hue) ho yaani jo ye bataayen haq hai to kufr e khalis hai, isi ko hadees me farmaya--

فقد كفر بما نزل على محمد ﷺ

Aur agar bataur e eteqad o tayaqqun na ho magar mail o ragbat(dilchaspi) ke sath ho to gunah e kabeera hai, Isi ko Hadees me farmaya--

لم يقبل الله له صلاة اربعين صباحا

Allah ta'ala 40 din tak uski nAmaz qubool na farmaayega.

Aur agar bataur e hazal o istehza( mazaq ke taur par) ho to abas o makrooh o himaqat hai.

Haan agar baqasd e ta'jeez (hath dekhne walo ko aajiz karne ki niyyat se) ho to harj nahi (yaani us ki
baaten jhutlaane ka qasd ho)
 #(fatawa rizviya, jild-9, hissa-2, safa-71)

Baher haal! Aam taur par log shauq o ragbat ke sath hath dikhate hain jo ke Haraam hai.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/2.html