✳Sawal:- Kursi Par Baith Kar Namaz Ada Karna Kaise Hai Aur Ruku O Sujood Kaise Ada Karein ❓

✴Jawab:- Khade Hone Par Qudrat Ho To Baith Kar Namaz Nahin Ho Sakti Agar Thodi Der Bhi Khade Ho Sakte Hon To Utni Khade Ho Kar Jab Bilkul Taaqat Na Rahe Khade Rahne Ki To Baith Jaaye Aur Ruku Sajde Ke Saath Namaz Ada Kare Agar Ruku O Sajde Kar Sakte Hain To Kursi Pe Namaz Na Hogi Is Liye Kee Kursi Par Baith Kar Ruku O Sajda Nahin Hota Balki Ruku O Sajde Ke Isharah Hota Hai Jab Ruku O Sajde Pe Qudrat Ho To Isharh Se Namaz Nahin Hogi.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html