✳SAWAL:- Raaste Se Paise Ya Rupaye Milna Kaisa Hai ? Is Par Shariat Ka Kya Hukm Hai ?

✴JAWAB:- Raaste Pe Pade Rupe Wagairah Na Len Aur Agar Le Liya To Itne Dino Tak Aelan O Intezar Kare Kee Ab Us Rupaye Wagairah Ka Maalik Talaash Nahin Karta Hoga.

💢Phir Kisi Muslaman Faqeer Ko Sadqa Kar Den.

🌟Agar Sadqa Ke Ba'd Maalik Mil Gaya To Use Bata De Kee Tumhara Rupiya Sadqa Kar Diya Agar Maalik Is Sadqe Pe Raazi Ho Jaaye To Ab Raaste Se Rupaye Lene Wale Par Kuchh Taawaan Nahin Aur Agar Maalik Us Sadqe Pe Raazi Na Ho To Raaste Se Rupaye Wagairah Lene Wala Apni Taraf Se Maalik Ko Rupaye Wagairah Lautaaye Aur Jo Raqam Sadqa Ki Gayi Uske Sawab Ka Mustahiq Raaste Se Rupaye Wagairah Lene Wala Shakhs Hoga Aur Agar Maalik Sadqe Pe Raazi Ho Jaaye To
Sawab Ka Mustahiq Maalik Hai.

🌟Haan Agar Maloom Hai Kee Apne Kisi Musalman Ki Raqam Raaste Pe Padi Hai Aur Agar Ye Na Le To Koi Dosra Shakhs Lelega To Is Soorat Mein Raaste Padi Raqam Lekar Uske Maalik Ko Dene Mein Harj Nahin Balkee Ek Musalmaan Ki Khair Khwahi Ke Sawab Ka Mustahiq Hoga.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html