✳Sawal:- Kaale (Black) Color Ki Chappal Pehnanaa Or Chappal Ko Uchi Jagah Per Rakhana Jo Sar Se Uper Hai ❓

✴Jawab:-  Jooto'n Ke Rang Ke Hawaale Se Koi Hadees Meri Nazar Se Nahi Guzri, Haan Kuch Logo Ke Hawaale Se Ye Maloom Hota Hai Kee Chunki Ka'ba Shareef Ke Ghilaaf Ka Rang Kaala (Black) Hai Is Liye Wo Kaale Joote Nahi Pahente. Ye Koi Shara'i Daleel Nahi Hai Lekin Un Ki Imani Kaifiyat Ka Ek Haal Hai Kee Wo Adaban Kaale Joote Nahi Pahente.

💢Albatta Peela Joota Pahenna Pasandeeda Hai, Hadrat Maula Ali Karramallahu Ta'ala Waj'hahul Kareem Farmate Hain Ke Jo Peele Rang Ka Joota Pehnega Us Ke Afkaar (Tentions) Me Kami Hogi (Yaani Gam Aur Fikren Kam Hongi).

🌟Aur Kaala Joota Pahenna Naa Pasandeeda Hai Ke Is Se Huzn O Malal Me Izaafa Hota Hai. Jaleelul Qadr Sahaabi Hadrat Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhu Siyaah Joote Pahenne Se Mana Farmate The Ke Is Se Afkaar (Huzn O Malal Fikren) Paida Hote Hain.

💢Oonchi Jagah Chappal Rakhne Mein Harj Nahin.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html