Ramzan Sharif Ke Masle Masail | Part wise Links

↪PART- 30 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Fazail E Shab-E- Qadr ~

Jis par Bahut si Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai ki

1). Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fateehah Ki Tilaawat ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein Jaaye.

2). Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood Mein Sirf 1 Baar Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal A’ala Padhlena kaafi
Hai.Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad aur Uthne Se Pehle Adaa Karen.

3). Tashahhud Ke Baad Dono Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye


اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلىٰ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِهٖ

Keh Kar Salaam Pher De.

4). Wittro Mein Bajaaye Qunood Ke 3 Baar Rabbig phirli Kehna Kaafi Hai.

🌀Tuloo,GurUb Wa Zawwaal Ke Alaawa Qaza Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti

↪PART- 29 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Fazail E Shab-E- Qadr ~

✴️ Iss Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhe Aur Agar Zindagi Qaza Namaaze Ho To Behtar Ye Hai K Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Apne Rab Se Maafi Maange.

💝 Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai-

1). 2 Fajr ki,

2). 4 Zohar Ki,

3). 4 Asr Ki,

4). 3 Magrib ,

5). 4 Isha & 3 Vitr.

🌟Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye.

🌀Zyaada Ho Jaaye To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta jald Adaa

↪PART- 28 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Fazail E Shab-E- Qadr ~

🌀Hadees:- Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jo Imaan Ki Wajah Se Aur Sawaab Ke Liye Shabe Qadr Mein Ibaadat Karega Uske Agle Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge. ~(Bukhari, Muslim)

Lijhaza Iss Raat Mein Zyaada Se Zyaada Ibaadat Karni Chaahiye.

🔹Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazeelat Wali Hai Iska Har Har Lamha Ibaadat Mein Guzaarna Chaahiye.

🔸Iss Raat ko Idhar Udhar Ghoom Kar Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht Mehroomi Hai.

🔹Baaz Log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse Tak Jaagte Hain Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai.

🔸Iss Tarah unki Fajr Ki Namaaz Qaza Ho Jo Jaati Hai Jo K Jaayez Nahin Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai Aise Logo Ko Chaahiye K

↪PART- 27 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Fazail E Shab-E- Qadr ~

🔸Shab-E-Qadr ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui, Allah T’aala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaq baargi lauhe Mehfooz se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.

🔹Iss Shab Mein Ibaadat Karna Hazaar Mahinon Ke Ibaadat Se Behtar Hai

🔸Iss Shab Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain Aur Jo Log Ibaadat Wa Riyaazat Mein Mashgool Rehte Hain Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye Farishte Subha Saadiq Tak Rehte Hain.

🔹Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain

🌀Hadees:- Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai. ~(Nasai)

🌟Hadees:- Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein

↪PART- 26 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Etakaaf Ka bayaan ~

Etakaaf Ki 3 Qismein Hai -


3). Etakaaf-e-Mustahab-

Etakaafe Wajib Aur Etakaafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Etakaaf Kiya Jaaye Wo Mustahab Hai. Etakaafe Mustahab Ke Liye Rozah Shart Nahin,Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai Masjid Mein Jab Jab Jaaye Iss Etakaaf Ki Niyyat Kar Le Chaahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahaar Aa Jaayega Etakaaf Khatm Ho Jaayega Aur Uski Niyyat Ye Hai.

💟Arbi Dua-


نَوَیْتُ سُنَّةَ الاِعْتِکَاف

Aur Urdu Mein Iss Tarah Kahein Maine- Allah Ke Waaste Etakaaf-e-Mustahab Ki Niyyat Ki.

▫️Mas'ala-› Mard ke Etakaaf ke liye masjid zaroori hai.

▪️Mas'ala-› Aurat apne ghar ki Uss jagah Mein Etakaaf kare jo jagah Usne namaAz ke liye mukarrar kar rakhi ho.

▫️Mas'ala-› Agar aurat ne namaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai to ghar Mein etakaaf Nahin kar sakti,albatta agar iss waqt yaani jab ke etakaaf ka irada kiya kisi jagah ko namaaz ke liye

↪PART- 25 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Etakaaf Ka bayaan ~

Etakaaf Ki 3 Qismein Hai -

1). Wajib

2). Sunnate Mu-akkida

3). Mustahab


1). Etakaaf-e-wajib:-

Ye Mannat Ka Etakaaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani K Fulah Kaam Ho Jaayega To MAIN 1 Din Ya 2 Din Etakaaf Karuga To Ye Etakaaf Wajib Hai Iska Poora Karna Zaroori Hai. Etakaafe Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai Bagair Rozah Ke Saheeh Nahin.


2). Etakaaf-e-Sunnate Mu-akkida:-

Ye Ramzaan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye.

▫️Mas'ala-› 20’svi Ramzaan Ko Suraj Doobte Waqt Etakaaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho

↪PART- 24 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Etakaaf Ka bayaan ~

🌀Hadees:- Ummul Momineen Siddiqa Radiyallahu T’aala Anha Se Riwayat Hai K Rasoolullah Sallal Laahu T’aala Alaihi Wasallam Razmzaan Ke Aakhri Ashra (Aakhri 10 din) Mein Etakaaf Farmaya Karte. -(Bukhari,Muslim)

🌟Hadees:-  Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu T’aala Anhuma Se Riwayat Hai K Huzoor Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Etakaaf Karne Wale Ke Baare Mein farmaya Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawaab Milta Hai Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki. ~(Ibne Maajah)

🌀Hadees:- Hazrate Husain Radiyalllahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ramzaan Mein 10 Dino Ka Etakaaf Kar Liya To Aisa Hai Jaise 2 Haj Aur 2 Umre Kiye. ~(Baihaqi)

▫️Mas'ala-›  Masjid Mein Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Theherna Etakaaf Hai Aur Uske Liye Musalmaan Aaqin(Aql Wala) Hona Aur Janaabat (Napaaki) Aur Haiz Aur Nifaas Se Paak Hona Shart

↪PART- 23 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai ~

✴️ Roze Ke Fidya Ke Masail ✴️

▫️Mas'ala-› Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat)

▪️Mas'ala-› Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota Jaayega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.

▫️Mas'ala-› Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi(Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho(Sardi) Main Rakh Sakega To Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke

↪PART- 22 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai ~

▫️Mas'ala-› Safar Wa Hamal (Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke Liye Uzr Hain Inn Wujooh Se Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar Nahin

▪️Mas'ala-› Safar Se Muraad Safar e Sharaiy Hai Yaani Itni Door Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyaada Ho.

▫️Mas'ala-› Din Mein Safar Kiya To USS Din Ka Rozah Iftaar Karne Ke LIYE Aaj Ka Safar Uzr Nahin Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga

▪️Mas'ala-› Hamal wali (pregnancy) Aurat KO Apni Jaan Ka Khauf Ho To Ijaazat Hai K Wo Uss Waqt Na Rakhe

▫️Mas'ala-› Mareez ko Marz Badhjaane Ya Der Mein Achcha Hone Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn Sabko Ijaazat Hai K USS Din Rozah Na Rakhe

▪️Mas'ala-› Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez Weham(khyaal) Kaafi Nahin

▫️Mas'ala-› Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Rozah Todhna Jaayez Nahin Agar Todhega

↪PART- 21 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Sehri wa iftar ka bayan ~

▫️Mas'ala-› Sehri Khana aur usme taakhir karna mustahab hai magar itni taakhir makhrooh hai k subah ho jaye .

▪️Mas'ala-› Iftar me jaldi karna mustahab hai magar iftaar uss waqt kare k gurub ka gaalib gumaan ho jab tak gumaan gaalib na ho iftar na kare agarche mu'azzin ne azan keh di hai aur baadal ke dino mein iftar mein jaldi na kare.

▫️Mas'ala-› Baaz log fajr ki azaan tak sehri khaate rehte hai unka roza nahi hota.

▪️Mas'ala-› Subah sadiq tak sehri kha sakte hai magar ehtiyaatan 5 minute pehle khaana pina mauqoof kar dena behtar hai.

▫️Mas'ala-› Kisi bhi roze ke liye sehri shart nahin ye jo awaam mein mashoor hai k nafli roze ke liye

↪PART- 20 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Sehri wa iftar ka bayan ~

🌀Hadees:- Hazrat Anas raziallahu taalaanhu se riwayat hai ke Huzoor e aqdas sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya"sehri khao k sehri khane me barkat hein"

🌟Hadees:- Hazrat Abdullah ibne Umar radiallahutaala anhu se riwayat hai k Huzoor Akram Sallal laahu alaihi wasallam Ne Farmaya"Allah aur uske Farishte Sehri khanne walon par Durood Bhejte hain.

🌀Hadees:- Hazrat Abu Saeed khudri radiallahu taala anhu se riwayat hai ki Huzoor Sallal laahu Taala Alaihi wasllam ne farmaya"Sehri kul barkat hai use na chhodhna agarche ek ghoont pani bhi peele kyunki sehri khaane walon par Allah aur uske Farishte durood bhejte hai"

🌟Hadees:- Hazrat Sahal bin Sa'ad radiallahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas Sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya hamesha log khair ke saath raheinge jab tak iftar mein jaldi karenge.

🌀Hadees:- Hazrate Abu Hurairah radi allahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya k Allah Taala ne farmaya mere bandhon mein mujhe zyada pyaara woh hai jo iftar mein jaldi karta hai.

🌟Hadees:- Hazrate Salman Bin Amir radiallahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas Sallal Laahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jab tumme se koi rozah iftaar kare to khujoor ya

↪PART- 19 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Taraweeh ka bayan~

▫️Mas'ala-›  Muqtadi ko ye jaayez nahin ke baitha rahe jab imaam rukoo karne ko ho khadha ho jaye k ye munafiqeen se mushabahat hai, Allah Taala irshad farmata hai "munafiq" jab namaz ko khade hote hain to thake ji se.

📖 surah e nisa aayat no142📖


▫️Mas'ala-› Taraweeh ramzan ki har shab mein bees(20) rakaat sunnat e muaqidda hai baaz log ye kehte hai ke che(6) din ya 10 din mein poora quran sharif sun kar poore ramzan taraweeh nahin padhte woh gunehgaar aur fasiq hai. woh ramzan ul mubaraq ki baqiya (baaqi) raaton mein bhi taraweeh padhe.


🔴Lukma Dene Ke Masail ~

▫️Mas'ala-› Imaam Agar Bhool Jaaye To Luqma Dena Jaayez Hai Sur Agar Imaam Ne Luqma Le Liya To Uss Par Sajda e Sahu Nahin.

▫️Mas'ala-› Fauran Luqma Dena Makrooh Hai Thoda Tawaqquf (Theherna) Chaahiye Ke Shayed Imaam Nikal Le.

▫️Mas'ala-› Imaam Ko Makrooh Hai Ke Muqtadiyon Ko Luqma Dene Par Majboor Kare Balki Kisi

↪PART- 18 Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Taraweeh ka bayan~

▫️Mas'ala-› Taraweeh mein ek(1) baar quran e majid khatm karna Sunnat e muakidda hai Logon ki susti ki wajah se khatam ko tark na kare.

▪️Mas'ala-› Agar muqtadiyon par girami ho to tashahaud ke baad


" اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلىٰ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِهٖ "

Par iktefa kare.

▫️Mas'ala-› Agar ek (1) Quran khatam karna ho to behtar hai k sattaiswi (27) shab me khatam ho phir agar iss raat mein ya iske pehle khatm ho to taraweeh aakhir ramzan tak baraabar padhte rahe k sunnat e muakkida hai.

▪️Mas'ala-› Afzal ye hai ke ek imaam ke peeche taraweeh padhe aur do (2) ke peeche padhna chaahe to behtar hai k poore tarawih par imaam badle maslan aanth(8) ek (1) ke peeche aur 12 doosre ke.

▫️Mas'ala-› Ramzan sharif mein vitr jama'at ke sath padhna afzal hai khwah usi imaam ke peeche jis ke peeche isha wa taraweeh padhi hai ya doosre ke peeche.

▪️Mas'ala-› Ye jaayez hai ke ek shaks isha wa vitr padhaye doosra taraweeh.

▫️Mas'ala-› Agar isha jamat se padhe aur taraweeh tanha to vitr ki jamat me sharik ho sakta hai.

↪PART- 17 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Taraweeh ka bayan~

▫️Mas'ala-› Taraweeh mard wa aurat sabke liye sunnat e muakkida hai iska tark jaayez nahi.

▪️Mas'ala-› Jamhur ka mazhab ye hai k taraweeh bees (20) rakatein hain aur yehi ahadees se sabit hai.

▫️Mas'ala-› Taraweeh ka waqt isha ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.

▪️Mas'ala-› Taraweeh mein jamaat sunnat e kiffaya hai k agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge aur agar kisi ek (1) ne ghar mein tanha padhli to gunehgar nahin.

▫️Mas'ala-› Taraweeh masjid mein ba jamaat padhna afzal hai agar ghar mein jamaat se padhi to jamaat ke tark ka gunaah na hua magar woh sawaab na milenga jo masjid mein padhne ka tha.

▪️Mas'ala-› Agar fout ho jaayen to inki qaza nahi aur agar qaza tanha padhli to taraweeh nahin balki

↪PART- 16 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Roze ke makhroohat ka bayan ~

▫️Mas'ala-› Chakhne se murad ye hai k zubaan par rakhkar mazah maloom karle aur use thook de uss me se halaq mein kuch na jaana paaye warna rozah toot jayega.

▪️Mas'ala-› TV dekhna, cricket, badminton, mobile ya computer game, carrom, foot ball, volley ball, chess, hockey, tennis, card, ludo wagairah khelna aur dino mein bhi na jayez o gunaah hai ramzam sharif me aur sakht gunah aur isse rozah bhi makrooh hota hai.

▫️Mas'ala-› Gulaab ya itr wagirah sunghna daadhi, mooch mein tel lagana aur surma lagana makhrooh nahi.

▪️Mas'ala-› Roze mein miswaak karna makrooh nahi balki jaise aur dino mein sunnat hai roze me bhi sunnat hai.

▫️Mas'ala-› Roze me tooth paste,manjan, wagairah istemal makrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to rozah toot jayega.

▪️Mas'ala-› Rozhdar ke liye kulli karne aur naak me paani charhaane me mubaalga karna makrooh hai.
Mubalaga karne ka matlab bhar munh pani le.

▫️Mas'ala-› Thandak pahuchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh

↪PART- 15 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Roze ke makhroohat ka bayan ~

Hadees:- Hazrat Abu Hurairah raziallahutaala anhu se riwayat hai k Huzoor Sallallaahu alaihi wasallam ne farmaya"Jo boori baat kehna aur uspar amal karna nahi chhodhe to Allah taala ko uski kuch haajat nahi k usne khana pina chhodh diya hai.

📗 Bukhari, Tirmizi Sharif


Hadees:- Hazrat Abu Hurairah raziallahu taala anhu se riwayat hai ki Huzoor sallallaahu alaihi wasallam ne irshad farmaya "rozah uska naam nahi ke khaane peene se baaz rehna ho, rozah to ye hai k bekaar aur behooda baton se bacha jaaye.

📗Haakim


▫️Mas'ala-› Jhoot , geebat, chugli,gaali dena behooda baat kisi ko takleef dena k ye cheezein waise bhi na jayez o haraam hai roze mein aur zyaada haraam aur inki wajah se roze me karahat aati hai.

▪️Mas'ala-› Rozhdar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.

▫️Mas'ala-› Chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka shouhar bad mijaaz hai k namak kam

↪PART- 14 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Kaffara Ka Bayan ~

🌟Rozah todhne ka kaffara ye hai k ek raqba (loundi ya gulam) azaad kare aur ye na ho sake jaise iss zamane mein gulam milte nahi to lagatar (pe dar pe) 60 roze rakhe agar ye bhi na kar sake to 60 miskino ko bhar bhar pet dono waqt khana khilaye aur roze rakhne ki soorat mein agar beech me ek dinka rozah choot gaya to ab se 60 roze rakhe pehle ki ginti nahin, 59 rakh chuka tha aur 60va na rakh saka , bimari wagairah kisi uzr se to phir se 60 roze poore lagatar rakhe. Pehle roze shumar na hoge albatta aurat ko agar haiz ki wajah se jitne naaga(gap) hue ye nahin geene jayenge yaani pehle ke roze aur haiz ke baadwale roze dono milkar 60 ho jane se kaffara ada ho jaayega.


⚠Kaffara Lazim Hone Ki Shartein ~

🌀Rozah todhe se kaffara lazim hone ki chand shartein hai ke jab ye sab payi jayegi tab kaffara laazim hoga warna nahi-

1). Ramzan ke mahine mein ramzan ka rozah adaa karne ki niyyat se rozah rakha ho.

2). Rozah dar muqim ho musafir nahi.

3). Mukallaf(aaqil o balig) ho to agar bacche ya pagal ne todha to kaffara nahi.

4). Raat hi se roza e ramzan ki niyyat ki ho to agar din mein niyyat ki phir use todh diya to kaffara nahi.

5). Rozah todhne ke baad koi aisa amr na waaqey hua ho roze ke khilaaf ho jaise aurat ko haiz wa

↪PART- 13 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn surton ka bayan jinme qazaa ke sath kaffara bhi lazim hai~

▫️Mas'ala-› Ramzan me rozah daar mukallaf(jispar roza farz ho) muqim(jo shaks musafir nahi use muqim kehte hai) ne,K adaaye rozah e ramzan ki niyyat se rozah rakha aur geeza ya dawa khaayi ya paani piya ya koi cheez lazzat ke liye khayi ya pi inn sab surton me qaza ke sath kaffara bhi lazim hai.

▪️Mas'ala-› Jis jagah rozah todhne se kaffara lazim aata hai usme shart hai k raat hi rozae ramzaam ki niyat ki ho agar din mein niyyat ki thi aur todh diya to kaffara lazim nahi.

▫️Mas'ala-› Kaffara wajib hone ke liye bhar pet khana zaroori nahi, thodasa khaane se bhi wajib ho jayega.

▪️Mas'ala-› Tel lagaya ya geebat ki phir ye guman kar liya ki rozah toot gaya phir use kha pi liya jab bhi kaffara lazim hai.

▫️Mas'ala-› Jin surton mein rozah todhne par kaffara lazim nahi unme shart hai ki ek hi baar aisa hua ho aur gunaah ka irada na kiya ho warna unme kaffara dena hoga.

▪️Mas'ala-› Sehri Ka Niwala munh me tha k subah tulo'o ho gayi aur use nigal gaya kaffara wajib hai.

▫️Mas'ala-› Bhoolkar kha raha tha yaad aa gaya aur nigal gaya, kaffara wajib hai.

▪️Mas'ala-› Ehtlaam hua aur use maloom tha k rozah na gaya phir kha liya to kaffara lazim hai.

↪PART- 12 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn Surton Ka Bayan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai~

▫️Mas'ala-› Ye Guman Tha K Subah nahi huyi aur khaya,piya ya hum bistari ki baad ko maloom hua k subah ho chuki thi to sirf Qazaa Laazim hai yani iss roze ke badle me 1 rozah rakha hoga.

▪️Mas'ala-› Bhoolkar Khaya Piya Ya Humbistari Ki ya Ehtlaam(night fall) hua ya ulti hui aur inn sab surton me ye gumaan kiya k rozah toot gaya ab jaan bujhkar kha liya to sirf qaza farz hai.

▫️Mas'ala-› Kaan me Tel Tapkaya Ya naak se dawa chadhayi ya subah ko niyyat nahi ki thi, din me zawaal se pehle niyyat ki aur niyyat ke baad kha liya inn sab surton mein sirf qazaa laazim hai kaffara nahi.

▪️Mas'ala-› Gurub samajhkar iftaar kar liya Halaki Din Baki Tha sirf Qaza lazim hai.

▫️Mas'ala-› Nabaligh bacche ne rozah rakhkar todh diya to usspar qazaa lazim nahi.

▪️Mas'ala-› Ulti aayi ya bhoolkar khaya piya aur inn sab surton mein use malum tha k rozah na gaya

↪PART- 11 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Rozah Todne Wali Cheezon Ka Bayan

▫️Mas'ala-› Naswaar naak mein lagaakar upar kheechne se rozah toot jata hai.

▪️Mas'ala-› Lobaan, Agarbatti wagairah ke dhue ko jaanbhujkar Naak ya munh se kheecha, rozah toot gaya.

▫️Mas'ala-› Manjan, toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch ajza halaq se neeche utar gaye rozah toot gaya.

▪️Mas'ala-› Inhaler(jo ke dame ke mariz aksar istemal karte hain) roze ki haalat me istemal kiya rozah toot gaya. Isi tarah sardi ke inhaler se bhi rozah toot jaayega.

▫️Mas'ala-› Sheenk aane ke liye naak mein sufoof(powder) rakhkar upar ko saans kheechne se rozah

↪PART- 10 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Rozah Todne Wali Cheezon Ka Bayan

▫️Mas'ala-›  Janbhujhkar Munh bhar Ulti ki to Rozah toot gaya.

▪️Mas'ala-›  Be ikhtiyar bhar munh ulti ho gayi phir use nigal gaya rozah toot gaya.

▫️Mas'ala-› Ye gumaan tha ke subah nahi hui aur khaya ya piya, baad ko malum hua k subah ho chuki thi rozah na hua.

▪️Mas'ala-› Ye gumaan tha k Aaftab doob gaya aur iftar kar liya baad ko malum hua k na dooba tha to rozah na hua.

▫️Mas'ala-› Jiska rozah toot gaya maslan galti se pani wagairah koi cheez halaq mein ja rahi to jo,

↪PART- 09 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Rozah Todne Wali Cheezon Ka Bayan

▫️Mas'ala-›  Roze mein Daant unkharwaya aur khoon nikalkar halaq se niche utra rozah toot gaya.

▪️Mas'ala-›  Naak se dawa chadhayi ya kaan mein tel dala ya chala gaya rozah toot gaya.

▫️Mas'ala-›  Kaan me jaanbhujhkar pani dalne se Rozah toot jata hai(Fatawe Razwiya)

▪️Mas'ala-›  Kulli Kar raha tha be ikhtiyar pani halaq se niche utar gaya, rozah toot gaya.

▫️Mas'ala-›  Naak Mein pani chadhwaya aur dimag ko chadh gaya rozah toot gaya.

▪️Mas'ala-  Aansu ya paseena munh mein chala gaya aur nigal gaya to agar 2 katre se zyaada hai aur

↪PART- 08 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Rozah Todne Wali Cheezon Ka Bayan

▫️Mas'ala-›  Jaan bhujkar Khaane, peene, humbistari karne se rozah toot jaata hai.

▪️Mas'ala-›  Huqqa, sigaar,Ciggerate, Charat (Charas) wagairah peene se rozah toot jata hai.

*▫️Mas'ala-›  Paan ya Tambaku Khaane se rozah toot jata hai.

▪️Mas'ala-› Sugar wagairah aisi cheezein jo munh mein rakhne se ghul jaati hai, munh mein rakhi aur thook nigal gaya, rozah toot gaya.

▫️Mas'ala-› Daanton ke darmiyan koi cheez chane ke barabar ya zyada thiu use kha gaya ya kam hi thi magar munh se nikalkar phir kha li to dono surton me rozah toot jata hai.

▪️Mas'ala-› Daanton se Khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq mein mehsoos

↪PART- 07 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn Cheezon Ka Bayan Jis Se Roza Na Tootta-

▫️Mas'ala-› Be ikhtiyar qai(ulti) ho gayi to thodi ho ya zyada, rozah na toota.

▪️Mas'ala-› Khud bakhud ulti huyi phir use nigal gaya to agar munh bhar na ho rozah na tootega.

▫️Mas'ala-› Balgum ki qai kitnihi ho usse rozah na tootega.

▪️Mas'ala-› Rozedar ke jism par zakhm hai aur usse peep baha to rozah na gaya.

▫️Mas'ala-› Roze ki haalat me itr lagaya ya usko soonga ya phool soongha ya baal katwaya ya nakhun kaata ya sar ya badan me kisi aur hisse par baam ya tel ki maalish ki ya powder wa cream wagairah lagaya to inn sab surton me rozah na gaya.

▪️Mas'ala-›  Roze Ki Halat me ankh ka operation karaya ya aur kisi azu(parts) ka operation karaya,rozah na gaya.

▫️Mas'ala-›  Aansu ya paseena munh mein chala gaya aur use nigal gaya to agar qatra 2 qatra hai

↪PART- 06 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn Cheezon Ka Bayan Jis Se Roza Na Tootta-

▫️Mas'ala-›  Janaabat( Napaki) ki halat mein subha se agar saara din naapak raha, rozah na gaya magar itni der tak qasdan gusl na karna k namaz qaza ho jaye gunah wa haraam hai. Hadees mein hai k junub (napaki) jis ghar mein hota hai usme rehmat ke farishte nahin aate.

▪️Mas'ala-›  Daanton me koi cheez chane se kam thi aur use nigal gaya, rozah na toota.

▫️Mas'ala-›  Injection gosht mein lagwaya jaaye ya rag mein,dono surton mein rozah na tootega.

▪️Mas'ala-›  Ankhon me dawa dalne se rozah nahi tootta.

▫️Mas'ala-›  Khoon Nikalwane ya chadhwaane se rozah nahin tootta isi tarah glucose Chadhane se bhi

↪PART- 05 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn Cheezon Ka Bayan Jis Se Roza Na Tootta-

▫️Mas'ala-›  Kaan me pani chala gaya rozah nahi toota.

▫️Mas'ala-›  Tinke se kaan khujaya aur uss tinke par kaan ka mayl lag gaya phir wahi mayl laga hua tinka kaan mein daala agarche chand baar kiya ho, rozah na toota.

▫️Mas'ala-›  Daanton se khoon nikalkar halaq tak pahuncha magar halaq se niche na utra to rozah na toota aur agar halaq se niche utra magar itna kam tha k halaq mein mazah mehsoos na hua jab bhi rozah na toota.

▫️Mas'ala-›  Thook, Balgum, naak ki reet wagairah nigalne se rozah nahin toota.

▫️Mas'ala-›  Bhoole se Khana kha raha tha yaad ate hi fauran luqma phek diya ya subha sadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi ugal diya, rozah na gaya aur Nigal gaya to dono surton me rozah jata raha.

▫️Mas'ala-›  Ehtlaam(night fall) hua ya geebat ki to rozah na gaya agarche geebat bahut sakht kabeera hai.

🌀Quran e majid mein geebat karne ki nisbat farmaya jaise apne murda bhai ka

↪PART- 04 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn Cheezon Ka Bayan Jis Se Roza Na Tootta-

▫️Mas'ala-›  Bhool Kar khaya, piya, hum bistari ki, rozah na toota chaahe wo rozah nafli ho ya farz.

▪️Mas'ala-›  Kisi rozdar ko bhool kar khaate peete dekhe to yaad dilana wajib hai, yaad na dilaya to gunehgar hoga.

▫️Mas'ala-›  Makkhi Ya dhua, ya gubaar halaq me jane se rozah nahi tootta.

▪️Mas'ala-› Tel ya surma lagaya to rozah na toota agarche tel ya surma halaq me mehsoos hota ho balke thook me surne ka rang bhi dikhayi deta ho jab bhi nahin tootta.

▫️Mas'ala-›  Gusl kiya aur pani ki thandak andar mehsoos hui, rozah nahi toota.

▪️Mas'ala-›  Kulli Ki aur pani bilkul phek diya sirf kuch tari munh mein baaki reh gayee thi, thook ke

↪PART- 03 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
❇️ Roze Ki Niyyat Ke Masail ~

▫️Mas'ala-›  Din mein woh Niyyat Saheeh Hai K subah sadiq se niyyat karte waqt rozah ke khilaaf koi amr na paaya gaya ho- lihaza agar subah sadiq ke fauran baad qasdan yani jan bujhkar khaya , piya uske baad roze ki niyyat ki to rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar khaya piya ab niyyat ki to rozah ho jayenga.

▪️Mas'ala-›  Rozah Todhne Ki niyyat se rozah nahin tutega jab tak todhne wali cheez na kare roza todhne ka pakka irada kya magar todha nahi to rozah saheeh hai.

▫️Mas'ala-›  Agar Raat me roze ki niyyat ki phir pakka irada kar liya ke nahi rakhega to woh niyyat jaati rahi agar nayee niyyat na ki aur din bhar bhooka pyaasa raha to rozah na hua.

▪️Mas'ala-›  Sehri Khana Bhi Niyyat Hai chaahe ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah Ke Liye.

▫️Mas'ala-›  Sehri Khaate Waqt ye irada hai ke subah ko rozah na hoga to yeh sehri khaana niyyat nahi.

▪️Mas'ala-›  Adae Ramzan Aur Nazrein Mo'aiyyan Aur Nafl Ke Alawa Baaqi Roze Maslan Qazae Ramzaan Aur Nazre Gair Mo'aiyyan Aur Nafl Ki Qaza( Yani Nafl Rozah Rakhkar Todh Diya Tha Uski Qaza) inn Sab Mein Ain (exactly) subah Chamakte Waqt Ya Raat Mein Niyyat Karna Zaroori Hai.

▫️Mas'ala-›  Gurube Aftaab Se Zuhuwe kubra( shuru zawaal) tak sirf 3 qism ke roze ki niyyat ho sakti

↪PART- 02 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
❇️ Roze Ki Niyyat Ke Masail ~

▫️Mas'ala-› Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu'aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat Ka waqt gurube aaftab se Zuhuwe Kubra(shuru zawaal) Tak Hai.

▪️Mas'ala-› Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) Niyyat Ka Waqt Nahin Balke isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra ke waqt Niyyat Ki to Rozah Na hua.

▫️Mas'ala-› Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai,Zubaan Se Kehna Shart Nahi Magar Zubaan Se Keh Lena Mustahab Hai.

▪️Mas'ala-› Agr rat me niyyat kare to ye kahe

نویت أن أصوم غدا لله من فرض رمضان هذا

Aur din me niyyat kare to yun kahe

نویت أن اصوم هذا اليوم للہ تعالى من فرض رمضان

▫️Mas'ala-› Raat me Niyyat ki phir uske baad raat hi me khaya piya to Niyyat Nahi Gayi, wahi pehli

↪PART- 01 | Ramzan Sharif Ke Masle Masail 〽️

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🌀Masail E Fiqhiya:-

Rozah Bhi Misl Namaaz Ke (Namaz Ki Tarah) Farze A'in Hai - Iski Farziyat Ka Inkar Karne Wala Sakht Gunehgaar Aur Dozakh Ka Mustaheeq (Haqdaar) Hai. Jo Bachche Rozah Rakh Sakte Hai Unko Rakhaaya Jaaye.

🌀Roze Ki Tarif:-

Rozah Urfe Shara'a Musalmaan Ka Ibadat Ki Niyyat Se Subah Saadiq Se Gurub E Aaftaab Tak Apne Ko Jaan Bujhkar Khaane Peene Aur Jima'a (Hum Bistari) Se Baaz Rakhne Ko Kehte Hain.

💝 KĀSH GUMBAD-e-KHAZRĀ DAIKHNAI KO MIL JĀTĀ 💝

___________________________________

Dāgh-e-Furqat-e-Taibā Qalb-e-Muzmahil Jātā
Kāsh Gumbad-e-Khazrā Daikhnai Ko Mil Jātā

Maira Dam Nikal Jātā Unn Kai Āstānai Par
Unn Kai Āstānai Kī Khāk Mai Mil Jātā

Mairai Dil Sai Dhul Jātā Dāgh-e-Furqat-e-Taibā
Taibā Mai Fanā Ho Kar Taibā Mai Hī Mil Jātā

Maut Lai Kai Ā Jātī Zindagī Madīne MaiN
Maut Sai Galay Mil Kar Zindagī MaiN Mil Jātā

Khuld Zār-e-Taibā Ka Iss Tarah Safar Hotā
Pīchay Pīchay Sar Jātā Āgai Āgai Dil Jātā

Dil Pai Jab Kiran Parrtī Unn Kai Sabz Gumbad Kī
Uss Kī Sabz Rungat Sai Bāgh Ban Kai Khil Jātā

Furqat-e-Madīnā Nai Woh Diye Mujhai Sadmai
Kouh Par Agar Parrtai Kouh Bhī Tou Hil Jātā

Dil Mairā Bichā Hota Unn Kī Reh GuzārouN Mai
Unn Kai Naqsh-e-Pā Sai YūN Mil Kai Mustaqill Jātā

Dil Pai Woh Qadam Rakhtai Naqsh-e-Pā Yai Dil Bantā
Yā Tou Khāk-e-Pā Ban Kar Pā Sai Muttasil Jātā

Woh Khirām Farmātai Mairai Dīdah-o-Dil Par
Dīdah Mai Fidā Karta Sadqai Mairā Dil Jātā

Chashm-e-Tar WahaN Behtī Dil Ka Mudda'ā Kehtī

⚡ WAJH-e-NISHĀT-e-ZINDAGĪ RĀHAT-e-JĀN TUM HĪ TOU HO ⚡

___________________________________

Wajh-e-Nishāt-e-Zindagī Rāhat-e-JāN Tum Hī Tou Ho
Rūh-e-Rawān-e-Zindagī Jān-e-JahāN Tum Hī Tou Ho

Tum Jo Na Thai Tou Kuch Na Thā Tum Jo Na Ho Tou Kuch Na Ho
Jān-e-JahāN Tum Hī Tou Ho Jān-e-Janān Tum Hī Tou Ho

Tāj-e-Waqār-e-KhākiyāN Nāzish-e-Arsh-o-ArshiyāN
Fakhr-e-Zamīn-o-ĀsmāN Fakhr-e-Zamān Tum Hī Tou Ho

Kis Sai KarūN Bayān-e-Gham Koun Sunai Fughān-e-Gham
PāouN KahāN Amān-e-Gham Amn-o-Amān Tum Hī Tou Ho

Rūh-e-Rawān-e-Zindagī Tāb-o-Tawān-e-Zindagī
Amn-o-Amān-e-Zindagī Shāh-e-ShahāN Tum Hī Tou Ho

Tum Hu Chirāgh-e-Zindagī Tum Ho JahāN Kī Roushnī
Mehr-o-Māh-o-Nujūm Mai Jalwah KināN Tum Hī Tou Ho

Tum Sai Jahān-e-Rang-o-Bū Tum Ho Chaman Kī Ābrū
Jān-e-Bahār-e-GulsitāN Sarw-e-Chamān Tum Hī Tou Ho

❇️ MUSTAFĀ'AI ZĀT-e-YAKTĀ ĀP HAIN ❇️

___________________________________

Mustafā’ai Zāt-e-Yaktā Āp HaiN
Yak Nai Jis Ko Yak Banāyā Āp HaiN

Āp Jaisā Koī Ho Saktā Nahī
Apnī Har Khūbī Mai Tanhā Āp HaiN

Āb-o-Gil Mai Nūr Kī Pehlī Kiran
Jān-e-Ādam Jān-e-Hawwā Āp HaiN

Husn-e-Awwal Kī Namūd-e-AwwalīN
Bazm-e-Ākhir Ka Ujālā Āp HaiN

Lā Makān Tak Jis Kī Phaili Roushnī
Woh Chirāgh-e-Ālam-e-Āra Āp HaiN

Hai Nimak Jis Ka Khamīr Husn Mai
Woh Malīh-e-Husn Āra Āp HaiN

Zaib-o-Zain-e-Khāk u Fakhr-e-KhākiyāN
Zīnat-e-Arsh-e-Mu'allā Āp HaiN

Nāzish-e-Arsh u Waqār-e-Arshiyān
Sāhib-e-Qausain-o-Adnā Āp HaiN

Āp Kī Tal'at Khūdā Ka Āinā
Jis Mai Chamkai HAQQ Ka Jalwa Āp HaiN

Āp Kī Rūyat Hai Dīdār-e-Khūdā
Jalwoh Gah-e-HAQQ Ta'ala Āp HaiN

Āp Ko Rabb Nai Kiyā Apnā Habīb
Sāri Khalqat Kā Khulāsā Āp HaiN

Āp Kī Khātir Banā'ai Dou JahāN
Apnī Khātir Jo Banāyā Āp HaiN

JāN Tuī JānāN Qarār-e-Jān Tuī
Jān-e-JāN; Jān-e-Masīhā Āp HaiN

✴️ JAHĀN BĀNI ATĀ KAR DAIN ✴️

___________________________________

JahāN Bāni Atā Kar DaiN Bhari Jannat Hibā Kar DaiN
Nabī Mukhtār-e-Kul HaiN Jis Ko Jo ChāHaiN Atā Kar DaiN

Jahān Mai Unki Chalti Hai Woh Dam Mai Kyā Sai Kyā Kar DaiN
ZamīN Ko Āsmān Kar DaiN Surayyā Ko Sarā Kar DaiN

Fizā Mai Urrnai Wālai YuN Na Itrā'aiN Nidā Kar DaiN
Woh Jab ChāHaiN Jisai ChāHaiN Ussai FarmāN Rawā Kar DaiN

Mairī Mushkil Ko YūN ĀsāN Mairai Mushkil Kushā Kar DaiN
Har Ik Mouj-e-Balā Ko Mairai Mowlā Na Khūdā Kar DaiN

Munawwar Mairī ĀnkhuN Ko Mairai Shamsud-Dhuhā Kar DaiN
GhamouN Kī Dhūp Mai Woh Sāya-e-Zulf-e-Dutā Kar DaiN

Atā Hu Bai Khūdī Mujh Ko Khūdi Mairī Hawā Kar DaiN
Mujhai YūN Apnī Ulfat Mai Mairai Mowlā Fanā Kar DaiN

JahāN Mai Ām Paighām-e-Shahai Ahmad Razā Kar DaiN
Palat Kar Pīchai DaikHaiN Phir Sai Tajdīd-e-Wafā Kar DaiN

Nabī Sai Jo Ho Baigānā Ussai Dil Sai Judā Kar DaiN
Pidar, Mādar, Birādar, Māl u Jān Unn Par Fidā Kar DaiN

Tabassum Sai Gumān Ghuzrāi Shab-e-Tārīk Par Din Kā
Ziyā-e-Rukh Sai Dīwāroun Ko Roushan Āinā Kar DaiN

Kisī Ko Woh Hansātai HaiN Kisi Ko Woh Rulātai HaiN
Woh YūNhi Āzmātai HaiN Woh Ab Tou Faislā Kar DaiN

Gil-e-Taibā Mai Mil JāouN GulouN Mai Mil Kai Khil JāouN

🕋 QASĪDATUN FIL HAMD WA MADH-e-NABĪ ﷺ 🕋

___________________________________

Allah Allah Allahu
Māli Rabbun Illā Hū

Yafnal Kullu Wa Yabqā Hū
Laisal Bāqi Illā Hū

Man Kāna Du’āhu An'yāhū
Zāka Hamīdun Uqbāhu

Man Kāna Li Rabbī Dunyāhu
Āsha Sa’īdan Ukhrāhu

Man Kunta Ilāhī Mawlāhu
Kullun' Nāsi Tawallāhu

Mam' Māta Yaqūlu Allahu
Zākal Khālidu Mahyāhu

Rasūlullahi Talaqqāhu
Abshir Abdu Bi Husnāhu

Ar'Ridwānu Lahu Nuzulun
Jannatu Khuldim-Ma'Wāhu

Takhshan Nāsa Bilā Jadwā
Hallā Rabbaka Takhshāhu

Ibghil Amna Ladā Rabbī
Innal Amna Bi Taqwāhu

Tansā Rabbaka Yā Fānī
Dum In Shi'ta Bizikrāhu

Tarjun' Nāsa Lijadwāhum
Innal Jadwā Jadwāhu

Hal Ghairaka Yakhshā Rabbīyun
Ghairuka Rabbī Yakhshāhu

Rabbī Rabbul' Arbābi
Laysa Yudāhā Hāshāhu

Fasiwāhu Rabbum Bil Ismi
Wa Ilāhul Haqqi Yar’āhu

▫Post-01 | 💟 Ikhtiyaarat _e_ MUSTAFA ﷺ 💟

___________________________________

Hadees No. 1

❝ Aqba Ibne Aamir se marawi hai ki Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki main Apne Houz ko is waqt Dekh raha hun, aur Mujh ko tamam Roo_e_Zameen ke Khazano ki Kunjiya Di Gayi Hai.❞

📕 »» Sahih Bukhari, Jild.1, Safa 179
📗 »» Sahih Muslim, Jild.2, Safa 250


✨ Is Hadees Shareef me Huzoor ﷺ ne Houze Kouser ko Apna Houz Farmaya goya aap iske Malik hain aur saari Roo_e_Zameen ke khazano ki kunjiya Khuda_e_Ta'ala ne aap ko ata farmayi hai yaani

✴️ रसूल और नबी ✴️

___________________________________

सवाल:-  रसूल और नबी कौन होते हैं ❓

जवाब:-  रसूल और नबी खुदायेतआला के बन्दे और इन्सान होते हैं। अल्लाह तआला ने उनको इन्सान की हिदायत के लिए दुनियां में भेजा है। वह बंदों तक खुदायेतआला का पैगाम पहुंचाते हैं। मुअजिज़े दिखाते हैं और गैब की बातें बताते हैं, झूट कभी नहीं बोलते वह हर गुनाह से पाक साफ़ होते हैं।

उनकी तादाद कुछ कम व बेश एक लाख चौबीस हजार या तकरीबन दो लाख चौबीस हजार है, सब से पहले नबी हजरते आदम अलैहिस्सलाम हैं और सबसे आखिरी नबी हमारे पैगम्बर हज़रत मुहम्मद मुसतफ़ा सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम हैं।


सवाल:-   क्या हम हिन्दुओं के पेशवावों को नबी कह सकते हैं

जवाब:-   किसी शख्स को नबी कहने के लिए कुरान व हदीस से सुबूत चाहिए और हिन्दुओं के पेशवावों

✴️ खुदाये तआला की किताबें ✴️

___________________________________

सवाल:-  खुदाये तआला की किताबें कितनी हैं ❓

जवाब:- खुदाये तआला की छोटी बड़ी बहुत सी किताबें नाज़िल हुई बड़ी किताब को किताब और छोटी को सहीफ़ह कहते हैं, उनमें चार किताबें बहुत मशहूर हैं अव्वल तौरेत जो हज़रते मूसा अलैहिस्सलाम पर नाज़िल हुई, दूसरे जबूर जो हज़रते दाऊद अलैहिस्सलाम पर नाज़िल हुई, तीसरी इन्जील जो हज़रते ईसा अलैहिस्सलाम पर नाजिल हुई और चौथी कुरान मजीद जो हमारे नबी सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम पर नाजिल हुआ ।


सवाल:-  पूरा कुरान मजीद एक दफा नाज़िल हुआ या
थोड़ा-थोड़ा ❓

जवाब:-  पूरा कुरान मजीद एक दफ़ा इकट्ठा नहीं नाज़िल हुआ बल्कि ज़रूरत के मुताबिक 23 (तेईस) बरस में थोड़ा-थोड़ा नाज़िल हुआ।


सवाल:-  क्या कुरान मजीद की हर सूरत और हर आयत पर ईमान लाना ज़रूरी है ❓

जवाब:-  हां कुरान मजीद की हर सूरत पर ईमान लाना जरूरी है अगर एक आयत का भी इन्कार कर दे या यह

✴️ फ़रिश्ते ✴️

___________________________________

सवाल:-  फ़रिश्ते क्या चीज़ हैं ❓

जवाब:-  फ़रिश्ते इन्सान की तरह एक मखलूक हैं लेकिन वह नूर से पैदा किए गए हैं। न वह मर्द हैं न औरत हैं, न कुछ खाते हैं न कुछ पीते हैं। जितने काम खुदायेतआला ने उनके सिपुर्द किया है उसी में लगे रहते हैं।

कुछ फ़रिश्ते बंदों का अच्छा बुरा अमल लिखने पर मुकर्रर हैं जिनको किरामन कातिबीन कहा जाता है।

कुछ फ़रिश्ते कब्र में मुर्दों से सुवाल करने पर मुक़र्रर हैं, जिनको मुनकर नकीर कहा जाता है और कुछ फ़रिश्ते हुजूर अलैहिस्सलातु वस्सलाम के दरबार में मुसलमानों के दुरुद व सलाम पहुंचाने पर मुकर्रर हैं, उनके अलावा और भी बहुत से काम हैं जो फ़रिश्ते अनजाम देते रहते हैं।

उनमें चार फ़रिश्ते बहुत मशहूर हैं, अव्वल हज़रते जिबरील अलैहिस्सलाम जो अल्लाह तआला के अहकाम पैगम्बरों तक पहुंचाते थे । दूसरे हज़रते इसराफील अलैहिस्सलाम जो कियामत के दिन सूर फूकेंगे। तीसरे हज़रते

✴️ अल्लाह तआला ✴️

अल्लाह के नाम से शुरू जो बहुत मेहरबान रहमत वाला है।
___________________________________

सवाल:-  अल्लाह तआला के बारे में कैसा अकीदा रखना चाहिए ❓

जवाब:- अल्लाह तआला एक है उसका कोई शरीक नहीं।

आसमान व जमीन और सारी मखलूकात का पैदा करने वाला वही है।

वही इबादत के लाइक है दूसरा कोई इबादत के लाइक नहीं है।

वही सबको रोजी देता है।

अमीरी-गरीबी और इज्जत व जिल्लत सब उसके इखतियार में है।

जिसे चाहता है इज्जत देता है और जिसे चाहता है जिल्लत देता है।

उसका हर काम हिक्मत है, बंदो की समझ में आये या न आये वह हर कमाल व खूबी वाला है।

झूट, दगा, खियानत, जुल्म जिह्ल वगैरह हर ऐब से पाक है, उसके लिए किसी ऐब का मानना कुफ्र है।


सवाल:- क्या अल्लाह तआला को बुढ़ऊ कहना जाइज़ है ❓

जवाब:- अल्लाह तआला की शान में ऐसा

▫पोस्ट-- 11 | मोजिज़_ए_लुआबे दहन 💝

___________________________________

हज़रते उतबह बिन फरक़द रजि अल्लाहु अन्हु के बदन से बड़ी दिलकश और दिल आवेज़ खश्बू आती थी जिस मजलिस में तशरीफ ले जाते थे, तो लोग तअज्जुब से पुछते थे कि ऐ उतबह कौन सा इत्र इस्तेमाल करते हो जिस की ख़श्बू हमारे इत्र की खुश्बू को माँद कर देती है।

उतबह की तीन बीवियां थीं हर एक की ख्वाहिश यही रहती थी कि जो भी इत्र इस्तेमाल करे वह दूसरी दो सौकनों से ज्यादह खुश्बू दार हो। हर बीवी बेहतर से बेहतर खुश्बू लगाने में कोशां रहती थीं।

लेकिन हज़रते उतबह ने कभी खुश्बू के लिए किसी इत्र का इस्तेमाल नहीं किया था इस के बावजूद उनके बदन से फूटने वाली कस्तूरी की महक के मुकाबले उन की बीवियों की इत्र व खुश्बू की कोई हक़ीक़त न थी ।

एक मरतबा उन की एक जौजह उम्मे आसिम ने उन से पूछा कि क्या वजह है, आप खुश्बू भी नहीं लगाते लेकिन आपके जिस्म से जो खुश्बू निकलती है उसके सामने सारे इत्र और कस्तूरियाँ बेकार हैं, इस में राज़ क्या है आप हमें बताइये?

आप ने उम्मे आसिम से कहना शुरू किया कि बचपन में मेरे जिस्म में छोटे छोटे दाने निकल आए थे जिस से बदन में खुजलाहट पैदा हो गई थी।

मैं तबीबे दो आलम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की बारगाह में हाजिर हुवा, हुजूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने मुझे अपने सामने बैठने का हुक्म दिया फिर मेरे कपड़े उतरवा दिये और अपनी एक हथेली मुबारका पर लुआबे दहन रखकर दूसरी से मला उस के बाद अपने दस्ते अकदस को मेरी पीठ और मेरे पेट पर फेर दिया । यह उस

▫पोस्ट-- 10 | मोजिज़_ए_लुआबे दहन 💝

___________________________________

सहाबी_ए_रसूल सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम हज़रते अब्दुल्लाह अनीस रज़िअल्लाहु अन्हु फ़रमाते हैं कि एक गजवा में मेरे सर पर तलवार का जख्म आया और मैं दर्द से तड़प उठा अपने आका व मौला सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की बारगाह में हाजिर हो कर अपना ज़ख्म दिखाया ।

हुजूर अनवर शफी_ए_महशर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने अपना लुआबे दहन जख्म पर डाल दिया तो उस की बरकत से सारा जख्म जो कि जान लेवा था मुंदमिल हो गया यहाँ तक कि उस जख्म का निशान भी बाकी ना

▫पोस्ट-- 09 | मोजिज़_ए_लुआबे दहन 💝

___________________________________

काजी अयाज़ लिखते हैं कि कुलसूम बिन हसीन रजि अल्लाहु अन्हु फ़रमाते हैं कि एक मौका पर मेरी गरदन पर
तलवार की जर्ब लगी मैं रहमते आलम नूरे मुजस्सम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की ख़िदमते बा बरकत में हाजिर हुवा ।

आप ने अपना लुआबे दहने मुबारक मेरी गरदन के उस गैहरे जख्म पर मल दिया जिस से उसी वक्त मेरा जख्म
दुरूस्त हो गया और मैं मुकम्मल सिहत याब हो गया।

▫पोस्ट-- 08 | मोजिज़_ए_लुआबे दहन 💝

___________________________________

हज़रते सय्यदुना अबू कतादह रजि अल्लाहु अन्हु जिन का अस्ल नाम हारिस बिन रुबइल अंसारी अस्लमी है, एक जंग के मौका पर उन्हें तीर लगा और ज़ख़्म काफी गहरा और खतरनाक था, रहमते आलम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की बारगाहे नाज़ में हाज़िर हुए और अर्ज करते हैं -

या रसूलल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम मुझे दुश्मन के तीर ने जख्मी कर दिया है।

हुजूर अपना लुआबे दहन शरीफ उन के ज़ख़्मों पर लगा देते हैं जिस की बरकत से न दर्द रहा न ज़ख़्म में खून या

▫पोस्ट-- 07 | मोजिज़_ए_लुआबे दहन 💝

___________________________________

हज़रते जाबिर बिन अब्दुल्लाह रजि अल्लाहु अन्हु की मेज़बानी का वाकेअह इमाम बुखारी व मुस्लिम व दीगर मुहद्दिसीन ने रिवायत किए हैं।

गजव ए खन्दक की तैयारी के मौका पर जब हजरते जाबिर रजि अल्लाहु अन्हु सरकारे दो आलम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के शिकमे मुबारक को कमर से चिमटा हुवा देख कर महसूस करते हैं कि आप फाका से हैं और भूक की वजह से आप की यह हालत हो गई ।

हज़रते जाबिर बिन अब्दुल्लाह रजि अल्लाहु अन्हु अर्ज करते हैं कि या रसूलल्लाह सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम अगर आप की इजाजत हो तो मैं घर तक हो आऊँ।

सरकार इजाज़त मरहमत फरमा देते हैं।

घर आकर बीवी से कहा, "मैं ने आका_ए_करीम सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम को सख्त फाका की हालत में देखा है क्या तेरे पास हुजूर की बारगाह में पेश करने के लिए कुछ है?

उस नेक बख्त खातून ने कहा इस वक्त थोड़ा सा जौ है और एक बकरी का बच्चा है इस के इलावह कोई चीज़ ऐसी नहीं है जिस से सरकार की मेहमान नवाजी का शर्फ हासिल किया जा सके।

हज़रते जाबिर रजि अल्लाहु अन्हु फ़रमाते हैं कि मैं ने उस बकरी के बच्चे को जिबह करके गोश्त पकने के लिए हाँडी में डालकर चूल्हे पर रख्खा और मेरी बीवी ने जौ पीस कर रोटी पकाने की तैयारी शुरू कर दी और मैं हुजूर की ख़िदमत में हाज़िर होने के लिए मैदाने जंग में जाने लगा।

मेरी बीवी ने मुझ से कहा कि हुजूर के सहाबा के रूबरू मुझे शरमिन्दह न करना मैं ने जब सरकार सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम की खिदमत में हाज़िर हो कर चुपके से अर्ज की या रसूलल्लाह हमारे पास बकरी का एक छोटा सा बच्चा है और एक सा जौ का आटा, हुजूर खुद भी तशरीफ़ ले चलें और अपने हमराह दस सहाबा को और एक दूसरी रिवायत में है कि उन्हों ने अर्ज की हुजूर के लिए थोड़े से खाने का इन्तिजाम किया है लिहाजा दो एक सहाबा के साथ तशरीफ ले चलें ।।

हुजूर ने इरशाद फ़रमाया कि अपनी बीवी से कहो जब तक मैं न पहुंचू चूल्हे से हाँडी को न उतारना और तन्दूर से रोटी न निकालना, यह कह कर हज़रते जाबिर को घर रवाना किया फिर तमाम लशकर में एलान करवा दिया कि ऐहले खन्दक आज जाबिर बिन अब्दुल्लाह के यहाँ सब की दावत है।

चुनांचे सरकार सल्लल्लाहु अलैहि वसल्ल्म के साथ मुहाजेरीन व अंसार जाबिर के घर की तरफ रवाना हो गए हज़रते जाबिर ने अपनी जौजह से बताया कि हुजूर तो तमाम लशकरे इस्लाम अपने साथ लेकर तशरीफ ला रहे हैं। इस्लाम की उस नेक बख़्त खातून ने कहाः अल्लाहु व रसूलहू नहनू अख्बरनाहु बिमा इन्दनाः अल्लाह और उस के रसूल खूब जानते हैं कि हमारे पास क्या है हमारी हालत कैसी है फिर जब हुजूर तशरीफ़ लाए तो गूंधा हुवा आटा पेश कर दिया। सरकार ने उस में अपना थूक शरीफ़ डाला और बरकत की दुआ फ़रमाई। उस के बाद हज़रते जाबिर को हुक्म दिया कि रोटी पकाने वाली औरतों को बुला लाओ जो तुम्हारी बीवी के साथ मिलकर रोटी पकाएं फिर आप ने हज़रते जाबिर से बताया कि मेरे साथ एक हजार आदमी आये हैं गोश्त की हाँडी को चूल्हे से मत उतारना वहीं से बरतनों में सालन डालते जाना।

हजरते जाबिर कहते हैं कि मैंने ऐसा ही किया सहाब_ए_किराम बारी-बारी आते गए और पेट भर खाना खाकर

▫पोस्ट-- 06 | मोजिज़_ए_लुआबे दहन 💝

___________________________________

हजरते अब्दुर्रहमान बिन औफ रज़ि अल्लाहु अन्हु का बयान है कि गजव_ए_बद्र के दिन मैं मुजाहेदीन की सफ में खड़ा था और मेरे दोनों जानिब दो नौ उम्र लड़के खड़े थे।

उनमें से एक ने राज़दारी से पूछा या अम्मे अरिनी अबी जहलिन  (बुखारी शरीफ जिल्द दोम स. 568)

ऐ चचा जान क्या आप अबू जहल का पता बता सकते हैं?

दूसरे नौ जवान ने भी यही पूछा ।

मैं ने उस से कहा कि क्यों? भतीजे तुम को अबू जहल से क्या काम है उस पर उन्होंने बड़ी बेबाकी और वेखौफी से कहा चचा जान यही तो वह खूंख्वार बद बख्त जालिम है जिस की शर अंगेजी इस दरजह को पहुंच चुकी है कि सरकारे दो आलम सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम को गालियाँ तक देता है वह अल्लाह के रसूल का बहुत बड़ा दुश्मन है हम जरूर उस पर हमला आवर होंगे।

हजरत अब्दुर्रहमान बिन औफ रजि अल्लाहु अन्हु ने अबू जहल की निशानदेही कर दी फिर क्या था दोनों बच्चे शहबाजों की तरह अबू जहल पर झपट पड़ते हैं यहाँ तक कि अपनी तलवारों से मार मार कर अबू जहल को शदीद जख्मी कर देते हैं यह दोनों  हज़रते मऊज़ और मआज रजि अल्लाहु अन्हुमा थे जो इफरा के बेटे थे ।

अबू जहल के बेटे अकरमह ने अपने बाप के इन्तिकाम में हजरते मआज पर हमला कर दिया  (अकरमह उस वक्त हालते कुफ्र में थे)  सामने मुकाबला करने की हिम्मत न हुई तो पीछे से हज़रते मआज के बायें शाना पर तलवार पूरी ताकत से मारी जिस से उन का बाजू कट कर लटक गया ।

हज़रते मआज अकरमह का पीछा करके दूर तक दौड़ाते रहे मगर वह बच निकला हजरते मआज इस हालत में

Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat, Part Wise Link

▫Post-- 32 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
67

Qabar Par Namaz Parhna, Qabar Ki Taraf Namaz, Musalman Ki Qabar Par Paun Rakhna, Qabron Par Masjid Banaana Sab Haraam.
Agar Masjid Me Koi Qabar Ajaye To Charo Taraf Thori Diwar Qayim Kar Ke Us Par Chatt Bana Len, Ab Deewar Ki Taraf Bhi Jayiz Hai.

📕 »»(Irfan e Shariat V2)


68

"Moonchein Itni Barhana Ke Mun Me Aayen, Haraam o Sakht Gunaah Aur Mushrikon Ki

▫Post-- 31 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
64

"Sheikhen (Abubakr o Umer) Ka Gustakh Mutlaqan Kafir Hai."

"Siddiqu_e_Akbar Ki Sahabiat Ka Munkir Kafir Hai"

📕 »»(Durr e Mukhtar 1/83)

"Inki Khilafat Ka Munkir Kafir Aur Maula Ali Ko Sab Se Afzal Janne Wala Gumrah Hai."

📕 »»(Khazana tul Muftin 1/28)
📕 »»(Fatawa Rizwiya 14/250)


65

"Yazid Beshak Paleed Tha, Ise Paleed Likhna Aur Kehna Jayiz Hai. Rehmatullahi Alaih Na Kahe."

📕 »»(Fatawa Rizwiya 14/603)


66

"SAHABA Ke Name Ke Sath RadiALLAHu anhu Aur Baad Wale ULAMA Ke Sath Rehmatullah

▫Post-- 30 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
61

"Payinche Takhne Se Niche Rakhna Bhi Makrooh e Tanzihi Hai" Bahawala Bukhari O Fatawa Alamgiri.

📕 »»(Fatawa Rizwiya 27/93)


62

Mard Ko Anguthi Sirf Chandi, Ek Nag,
4.5 Masha Se Kam Wazan Ki, Ek Waqt Me Ek Pehanna Jayiz Hai.

📕 »»(Ahkam e Shariat 2/30)


63

"Zakaat Saadaat_e_Karaam Par Haraam_e_Qat'ai Hai Jis Par Ijmaa Hai."

▫Post-- 29 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
59

Taash o Shatranj Dono Najayiz Hai Aur Taash Zyada Gunah o Haraam Kee Isme Tasaweer Bhi Hai.

📕 »»(Fatawa Rizwiya 24/113)


60

Ambiya_e_Karaam Ke Na Sirf Fuzlaat_e_Sharifa (Jism Se Kharij Hone Wale Zaayed Maaddey Misl e Boul o Baraz Wagairah) Paak Bulki Inke Walidain Kareemain Ke Wo Nutfe Bhi Paak Hain Jin Se

▫Post-- 28 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
57

Que. - ZALZALA Aane Ka Kya Baayis Hai?

"Zalzala Aane Ka Asli Baayis Aadmiyon Ke Gunah Hain Aur Paida Yun Hota Hai Kee Ek Pahaar Tamam Zamin Ko Muheet Hai, Iske Raishe Zamin Ke Andar Sab Jaga Phaile Huye Hai Jaise Bare Darakht Ki Jaren Door Tak Andar Anadar Phailti Hain, Jis Zamin Par MuazALLAH Zalzale Ka Hukum Hota Hai, Pahaar Us Jaga Ke Raishe Ko Junbish Deta Hai Aur Zamin Hilne Lagti Hai."

📕 »»(Fatawa Razawiya 27/93)


58

"Ghous_e_Paak Hamesha Se Hambli The. Jab Mansab_e_Ijtehad Hasil Hua Aur Mazhab_e_Hanbal

▫Post-- 27 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

54

Janab Nabi_e_Kareem ﷺ Ne Farmaya, "Be Adabi Aur Bad Tehzibi Hai Kee Adami Khare Hokar Peshab Kare."

📕 »»(Fatawa Africa P#09-10)


55

Imam Ahmed Raza Khan Ne Joota Pehan Kar Qabron Par Chalne Ko Ahl_e_Quboor Ki Touheen Qarar Diya.

📕 »»(Fatawa Rizwiya 4/107)


56

★✩ BIJLI ✩★

ALLAH Ne Badalon Ke Chalane Ke Liye Ek Farishta Muqarrar Kiya Hai, Jiska Naam Ra'ad Hai, Uska Qadd Buhat Chhota Hai, Uske Haath Me Ek Buhat Bara Koraa Hai, Jab Wo Koraa Badal Ko

▫Post-- 26 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
51

"Imam Zainul Aabdin Ne Yazid Ko Magfirat Ke Liye Koi Namaz Nahi Batayi, Ye Riwayat Be Asal Hai."

📕 »»(Fatawa Rizwiya 10/117)


52

"Daarhi Mundwane Aur Katarwane Wala Shakhs Faasiq_e_Mo'lin He, Usko Imam Banaana Gunaah Hai"

📕 »»(Ahkaam e Shariat 2/321)


53

"Daawato'n Me Log Khare Hokar Khate Hain.
Huzur ﷺ Ne Baith Kar Aur Joote Utaar Kar Khaane Ka Hukum Diya."

▫Post-- 25 ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
49

"Aksar Log Safar Ki Kuch Makhsus Taarikhon Me Shaadi Wagairah Nahi Karte, Ye Sab Be Asal Hai."

📕 »»(Fatawa Rizwiya 23/272)


50

"Safar Ki Aakhri Budh Ki Koi Asal Nahi Na Is Din Huzur Ki Sehat Yaabi Ka Koi Suboot Hai."

▫Post-- 24 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
47

"Jo Madina Ko Yasrab Kahe Us Par Touba Waajib Hai,
Madina TAABAH Hai
Madina TAABAH Hai"

Raawi : Baraa Bin Aazib
Iski Sanad Sahee Hai

📕 »»(Masnad Ahmed 4/285)

"Madina Paak Ko YASRAB Kehna Najayiz, Mamnu Aur Gunaah Hai Aur Kehne Wala Gunahgaar Hai."

📕 »»(Fatawa Rizwiya 21/116)


48

"Maal_e_Haraam Qabil_e_Qubool Nahi, Na Ise Raah_e_Khuda Karna Rawaa(Jayiz) Na Is Par

▫Post-- 23 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
45

Un Mardon Par La'nat Farmayi Gayi Jo Aurton Se Mushabihat Karen, Aur Isi Tarah Un Aurton Par Jo Mardon Se Mushabihat Karen.

📕 »»(Musnad Imam Ahmed 1/727 H#3151)
📕 »»(Bukhari H#5885 P#4)

"Mard Ko Baal Barhana Jahalat Aur Chotti Rakhna Haraam Hai"

📕 »»(Malfuzat P#281, 297)


46

"ALLAH Ko Aashiq Aur Huzur ﷺ Ko Ma'shooq Kehna Na Jaayiz Hai. Ye Lafz Shan_e_Ilahi Ke

▫Post-- 22 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
43

★ ✩ JASHN e WiLADAT Ka Charaagaa'n ✩ ★

Sura e Furqan Ayat#67 Ke Tehat-

"Israaf Me Koi Bhalayi Nahi, Aur Bhalayi Ke Kaamo Me Kharch Karne Me Koi Israaf Nahi.

📕 »»(Tafsir Kashaaf 3/293)
📕 »»(Malfuzat P#174)

_Imam Ghazali Ki Ahyaaul Uloom Me Bhi Is Se Muta'alliq Tazkira Milta Hai._


44

Adab Ka Taqaza Ye Hai Kee Sarkarﷺ Ko Aapke Zaati Naam Se Na Pukara Jaye Na Hi Naat Me Parha Jaye.

Balki  Ya Rasoolallahﷺ, Ya Habiballahﷺ  Keh Kar Nida Di Jaye,

▫Post-- 21 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
41

★ ✩ GAiRULLAH Se Madad ✩ ★

"Huzurﷺ Aur Auliya Ko ALLAH Ka Banda Aur Uski Baargah Me Wasila Jaane. Unka Madad Karna ALLAH Ke Izn Se Maane Aur Aetmad Karle Kee Be Hukm_e_Khuda Zarra Nahi Hil Sakta, ALLAH Ke Diye Bagair Koi Ek Hissa Nahi De Sakta."

📕 »»(Ahkaam e Shariat 1/4)


42

★ ✩ NAFAL Ya MUSTAHAB Ko FARZ Par Foqiat ✩ ★

Aalahazrat Imam Ahmed Raza Khan Farmate Hai - "Agar Farz Ki Adayegi Se Qabl Sunan o Nawafil

▫Post-- 20 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
39

"Taanbe o Peetal Ke Taweez Makrooh Hain, Sone-Chandi Ke Taweez Mard Ko Haraam Jabki Aurat Ko Jayiz Hain."

📕 »»(Malfuzat P#328)


40

Imam Zaamin Ka Jo Nikla Hai Kee Bazoo Me Kapra Lapet Kar Paisa Bandha Jaata Hai Iski Kuch

▫Post-- 19 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
37

★ ✩ Sarkarﷺ Ka Elm e Gaib Ataayi Hai ✩ ★

(Surah Takwir Ayat#24 Para30) Ke Tehat -

Huzurﷺ Ko Elm e Gaib Aata Hai Aur Wo Tumhe Bhi Talim Farmate Hai.

📕 »»(Khaazin 4/357)

ALLAH Aur Huzur ﷺ Ka Elm Barabar To Darkinar, Agar Tamam Elm Ko Jama Bhi Kiya Jaye To Bhi Is Elm Ko Elm_e_Ilahi Se Wo Nisbat Hargiz Nahi Hosakti Jo Ek Qatre Ke Karorwen Hisse Ko Karor Samandar Se Hai Kee Ye Mutanahi (Mehdood) Hai Aur Wo Gair Mutanahi Hai.

📕»»(Malfuzat P#93)


38

★ ✩ PEER o MURSHiD ✩ ★

"Hamesha Sunni Sahih ul Aqeeda Aur Paband_e_Shariat Peer Se Bait Ki Jaye, Jo Masail Jaanta Ho

▫Post-- 18 | ✅👑 Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ❌💥

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
35

"Jaali Faal Naame Jo Awam Me Mash'hur Aur Akabir Ki Taraf Mansub Hain Be Asal O Baatil Hain. "

📕 »»(Fatawa Rizwiya 23/327)


36

Ambiya Ki Hayaat Haqiqi, Hissi, Duniyawi Hai.
~(Ibn e Maja 2/291 H#291)

Ambiya o Auliya Par Mahaz Ek Aan Ko Maut Taari Hoti Hai Phir Unko Waise Hi Hayaat Ataa Farma Dee Jaati Hai.
~(Hashya Tafsir Saawi 1/340)

Auliya Ki Zindagi Duniyawi Zindagi Se Afzal o Aala Hai.