〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn surton ka bayan jinme qazaa ke sath kaffara bhi lazim hai~

▫️Mas'ala-› Ramzan me rozah daar mukallaf(jispar roza farz ho) muqim(jo shaks musafir nahi use muqim kehte hai) ne,K adaaye rozah e ramzan ki niyyat se rozah rakha aur geeza ya dawa khaayi ya paani piya ya koi cheez lazzat ke liye khayi ya pi inn sab surton me qaza ke sath kaffara bhi lazim hai.

▪️Mas'ala-› Jis jagah rozah todhne se kaffara lazim aata hai usme shart hai k raat hi rozae ramzaam ki niyat ki ho agar din mein niyyat ki thi aur todh diya to kaffara lazim nahi.

▫️Mas'ala-› Kaffara wajib hone ke liye bhar pet khana zaroori nahi, thodasa khaane se bhi wajib ho jayega.

▪️Mas'ala-› Tel lagaya ya geebat ki phir ye guman kar liya ki rozah toot gaya phir use kha pi liya jab bhi kaffara lazim hai.

▫️Mas'ala-› Jin surton mein rozah todhne par kaffara lazim nahi unme shart hai ki ek hi baar aisa hua ho aur gunaah ka irada na kiya ho warna unme kaffara dena hoga.

▪️Mas'ala-› Sehri Ka Niwala munh me tha k subah tulo'o ho gayi aur use nigal gaya kaffara wajib hai.

▫️Mas'ala-› Bhoolkar kha raha tha yaad aa gaya aur nigal gaya, kaffara wajib hai.

▪️Mas'ala-› Ehtlaam hua aur use maloom tha k rozah na gaya phir kha liya to kaffara lazim hai.


▫️Mas'ala-› Ramzan Sharif ka rozah qasdan (janbujhkar) Todhne se kaffara laazim aata hai.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
__________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html