〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Etakaaf Ka bayaan ~

🌀Hadees:- Ummul Momineen Siddiqa Radiyallahu T’aala Anha Se Riwayat Hai K Rasoolullah Sallal Laahu T’aala Alaihi Wasallam Razmzaan Ke Aakhri Ashra (Aakhri 10 din) Mein Etakaaf Farmaya Karte. -(Bukhari,Muslim)

🌟Hadees:-  Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu T’aala Anhuma Se Riwayat Hai K Huzoor Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Etakaaf Karne Wale Ke Baare Mein farmaya Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawaab Milta Hai Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki. ~(Ibne Maajah)

🌀Hadees:- Hazrate Husain Radiyalllahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ramzaan Mein 10 Dino Ka Etakaaf Kar Liya To Aisa Hai Jaise 2 Haj Aur 2 Umre Kiye. ~(Baihaqi)

▫️Mas'ala-›  Masjid Mein Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Theherna Etakaaf Hai Aur Uske Liye Musalmaan Aaqin(Aql Wala) Hona Aur Janaabat (Napaaki) Aur Haiz Aur Nifaas Se Paak Hona Shart
Hai,Baalig Hona Shart Nahin.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html