___________________________________

JahāN Bāni Atā Kar DaiN Bhari Jannat Hibā Kar DaiN
Nabī Mukhtār-e-Kul HaiN Jis Ko Jo ChāHaiN Atā Kar DaiN

Jahān Mai Unki Chalti Hai Woh Dam Mai Kyā Sai Kyā Kar DaiN
ZamīN Ko Āsmān Kar DaiN Surayyā Ko Sarā Kar DaiN

Fizā Mai Urrnai Wālai YuN Na Itrā'aiN Nidā Kar DaiN
Woh Jab ChāHaiN Jisai ChāHaiN Ussai FarmāN Rawā Kar DaiN

Mairī Mushkil Ko YūN ĀsāN Mairai Mushkil Kushā Kar DaiN
Har Ik Mouj-e-Balā Ko Mairai Mowlā Na Khūdā Kar DaiN

Munawwar Mairī ĀnkhuN Ko Mairai Shamsud-Dhuhā Kar DaiN
GhamouN Kī Dhūp Mai Woh Sāya-e-Zulf-e-Dutā Kar DaiN

Atā Hu Bai Khūdī Mujh Ko Khūdi Mairī Hawā Kar DaiN
Mujhai YūN Apnī Ulfat Mai Mairai Mowlā Fanā Kar DaiN

JahāN Mai Ām Paighām-e-Shahai Ahmad Razā Kar DaiN
Palat Kar Pīchai DaikHaiN Phir Sai Tajdīd-e-Wafā Kar DaiN

Nabī Sai Jo Ho Baigānā Ussai Dil Sai Judā Kar DaiN
Pidar, Mādar, Birādar, Māl u Jān Unn Par Fidā Kar DaiN

Tabassum Sai Gumān Ghuzrāi Shab-e-Tārīk Par Din Kā
Ziyā-e-Rukh Sai Dīwāroun Ko Roushan Āinā Kar DaiN

Kisī Ko Woh Hansātai HaiN Kisi Ko Woh Rulātai HaiN
Woh YūNhi Āzmātai HaiN Woh Ab Tou Faislā Kar DaiN

Gil-e-Taibā Mai Mil JāouN GulouN Mai Mil Kai Khil JāouN

Hayāt-e-Jāwidānī Sai Mujhai YūN Āshnā Kar DaiN

UnHaiN Manzūr Hai Jab Tak Yai Daur-e-Āzmāish Hai
Na ChāHaiN Tou Abhī Woh Khatm Daur-e-Ibtilā Kar DaiN

Sag-e-Āwara-e-Sehra Sai Uktā Sī Gayī Dunyā
Bachāou Ab Zamānai Ka Sagān-e-Mustafā Kar DaiN

Mujhai Kyā Fikr Ho  Akhtar  Mairai Yāwar HaiN Woh Yāwar
Balāoun Ko Jo Mairī Khūd Giriftār-e-Balā Kar DaiN

Poet: Tāj us-Sharī’ah Mufti Akhtar Ridā Khān

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Other Post of Safina _e_ Bakhshish-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/safinaebakhshish.html