〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Unn Surton Ka Bayan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai~

▫️Mas'ala-› Ye Guman Tha K Subah nahi huyi aur khaya,piya ya hum bistari ki baad ko maloom hua k subah ho chuki thi to sirf Qazaa Laazim hai yani iss roze ke badle me 1 rozah rakha hoga.

▪️Mas'ala-› Bhoolkar Khaya Piya Ya Humbistari Ki ya Ehtlaam(night fall) hua ya ulti hui aur inn sab surton me ye gumaan kiya k rozah toot gaya ab jaan bujhkar kha liya to sirf qaza farz hai.

▫️Mas'ala-› Kaan me Tel Tapkaya Ya naak se dawa chadhayi ya subah ko niyyat nahi ki thi, din me zawaal se pehle niyyat ki aur niyyat ke baad kha liya inn sab surton mein sirf qazaa laazim hai kaffara nahi.

▪️Mas'ala-› Gurub samajhkar iftaar kar liya Halaki Din Baki Tha sirf Qaza lazim hai.

▫️Mas'ala-› Nabaligh bacche ne rozah rakhkar todh diya to usspar qazaa lazim nahi.

▪️Mas'ala-› Ulti aayi ya bhoolkar khaya piya aur inn sab surton mein use malum tha k rozah na gaya
phir kha liya to kaffara lazim nahi(qazaa zaroori hai).

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html