〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
❇️ Roze Ki Niyyat Ke Masail ~

▫️Mas'ala-›  Din mein woh Niyyat Saheeh Hai K subah sadiq se niyyat karte waqt rozah ke khilaaf koi amr na paaya gaya ho- lihaza agar subah sadiq ke fauran baad qasdan yani jan bujhkar khaya , piya uske baad roze ki niyyat ki to rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar khaya piya ab niyyat ki to rozah ho jayenga.

▪️Mas'ala-›  Rozah Todhne Ki niyyat se rozah nahin tutega jab tak todhne wali cheez na kare roza todhne ka pakka irada kya magar todha nahi to rozah saheeh hai.

▫️Mas'ala-›  Agar Raat me roze ki niyyat ki phir pakka irada kar liya ke nahi rakhega to woh niyyat jaati rahi agar nayee niyyat na ki aur din bhar bhooka pyaasa raha to rozah na hua.

▪️Mas'ala-›  Sehri Khana Bhi Niyyat Hai chaahe ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah Ke Liye.

▫️Mas'ala-›  Sehri Khaate Waqt ye irada hai ke subah ko rozah na hoga to yeh sehri khaana niyyat nahi.

▪️Mas'ala-›  Adae Ramzan Aur Nazrein Mo'aiyyan Aur Nafl Ke Alawa Baaqi Roze Maslan Qazae Ramzaan Aur Nazre Gair Mo'aiyyan Aur Nafl Ki Qaza( Yani Nafl Rozah Rakhkar Todh Diya Tha Uski Qaza) inn Sab Mein Ain (exactly) subah Chamakte Waqt Ya Raat Mein Niyyat Karna Zaroori Hai.

▫️Mas'ala-›  Gurube Aftaab Se Zuhuwe kubra( shuru zawaal) tak sirf 3 qism ke roze ki niyyat ho sakti
hai.

1). Adae Ramzaan
2). Nazrein Mo'aiyyan
3). Nafli Roze

🌟Inke alawa jitne roze hain maslan- Qazae ramzaan wagairah to inki niyyat ka waqt gurube aftaab ke baad se subah sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki,rozah na hua.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html