〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Taraweeh ka bayan~

▫️Mas'ala-› Taraweeh mard wa aurat sabke liye sunnat e muakkida hai iska tark jaayez nahi.

▪️Mas'ala-› Jamhur ka mazhab ye hai k taraweeh bees (20) rakatein hain aur yehi ahadees se sabit hai.

▫️Mas'ala-› Taraweeh ka waqt isha ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.

▪️Mas'ala-› Taraweeh mein jamaat sunnat e kiffaya hai k agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge aur agar kisi ek (1) ne ghar mein tanha padhli to gunehgar nahin.

▫️Mas'ala-› Taraweeh masjid mein ba jamaat padhna afzal hai agar ghar mein jamaat se padhi to jamaat ke tark ka gunaah na hua magar woh sawaab na milenga jo masjid mein padhne ka tha.

▪️Mas'ala-› Agar fout ho jaayen to inki qaza nahi aur agar qaza tanha padhli to taraweeh nahin balki
nafl mustahab hai.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html