___________________________________

Dāgh-e-Furqat-e-Taibā Qalb-e-Muzmahil Jātā
Kāsh Gumbad-e-Khazrā Daikhnai Ko Mil Jātā

Maira Dam Nikal Jātā Unn Kai Āstānai Par
Unn Kai Āstānai Kī Khāk Mai Mil Jātā

Mairai Dil Sai Dhul Jātā Dāgh-e-Furqat-e-Taibā
Taibā Mai Fanā Ho Kar Taibā Mai Hī Mil Jātā

Maut Lai Kai Ā Jātī Zindagī Madīne MaiN
Maut Sai Galay Mil Kar Zindagī MaiN Mil Jātā

Khuld Zār-e-Taibā Ka Iss Tarah Safar Hotā
Pīchay Pīchay Sar Jātā Āgai Āgai Dil Jātā

Dil Pai Jab Kiran Parrtī Unn Kai Sabz Gumbad Kī
Uss Kī Sabz Rungat Sai Bāgh Ban Kai Khil Jātā

Furqat-e-Madīnā Nai Woh Diye Mujhai Sadmai
Kouh Par Agar Parrtai Kouh Bhī Tou Hil Jātā

Dil Mairā Bichā Hota Unn Kī Reh GuzārouN Mai
Unn Kai Naqsh-e-Pā Sai YūN Mil Kai Mustaqill Jātā

Dil Pai Woh Qadam Rakhtai Naqsh-e-Pā Yai Dil Bantā
Yā Tou Khāk-e-Pā Ban Kar Pā Sai Muttasil Jātā

Woh Khirām Farmātai Mairai Dīdah-o-Dil Par
Dīdah Mai Fidā Karta Sadqai Mairā Dil Jātā

Chashm-e-Tar WahaN Behtī Dil Ka Mudda'ā Kehtī

Āh Bā Adab Rehtī MouNh Mairā Sil Jātā

Dar Pai Dil Jhuka Hotā Izn Pā Kai Phir Barrhta
Har Gunnah Yād Āta Dil Khajil Khajil Jātā

Mairai Dil Mai Bas Jātā Jalwāh Zār Taibā Ka
Dāgh-e-Furqat-e-Taibā Phūl Ban Kai Khil Jātā

Unn Kai Dar Pai  Akhtar  Kī HasrataiN HoīN Pūrī
Sā’il-e-Dar-e-Aqdas Kaysai Munfa'il Jātā

Poet: Tāj us-Sharī’ah Mufti Akhtar Ridā Khān

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Other Post of Safina _e_ Bakhshish-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/safinaebakhshish.html