___________________________________

Mustafā’ai Zāt-e-Yaktā Āp HaiN
Yak Nai Jis Ko Yak Banāyā Āp HaiN

Āp Jaisā Koī Ho Saktā Nahī
Apnī Har Khūbī Mai Tanhā Āp HaiN

Āb-o-Gil Mai Nūr Kī Pehlī Kiran
Jān-e-Ādam Jān-e-Hawwā Āp HaiN

Husn-e-Awwal Kī Namūd-e-AwwalīN
Bazm-e-Ākhir Ka Ujālā Āp HaiN

Lā Makān Tak Jis Kī Phaili Roushnī
Woh Chirāgh-e-Ālam-e-Āra Āp HaiN

Hai Nimak Jis Ka Khamīr Husn Mai
Woh Malīh-e-Husn Āra Āp HaiN

Zaib-o-Zain-e-Khāk u Fakhr-e-KhākiyāN
Zīnat-e-Arsh-e-Mu'allā Āp HaiN

Nāzish-e-Arsh u Waqār-e-Arshiyān
Sāhib-e-Qausain-o-Adnā Āp HaiN

Āp Kī Tal'at Khūdā Ka Āinā
Jis Mai Chamkai HAQQ Ka Jalwa Āp HaiN

Āp Kī Rūyat Hai Dīdār-e-Khūdā
Jalwoh Gah-e-HAQQ Ta'ala Āp HaiN

Āp Ko Rabb Nai Kiyā Apnā Habīb
Sāri Khalqat Kā Khulāsā Āp HaiN

Āp Kī Khātir Banā'ai Dou JahāN
Apnī Khātir Jo Banāyā Āp HaiN

JāN Tuī JānāN Qarār-e-Jān Tuī
Jān-e-JāN; Jān-e-Masīhā Āp HaiN



Paikar-e-Har Shai Mai Jān Ban Kai Nihān
PardouN PardouN Mai Huwīda Āp HaiN

Āp Sai Khūd Āp Ka Sāil HuN Mai
Jān-e-JāN Mairī Tamannā Āp HaiN

Āp Kī Tal'at Ko Daikhā Jān Dī
Qabr Mai Pohanchā Tou Daikhā Āp HaiN

Bar Darat Āmad Gadā Bahr-e-Suwāl
Ho Bhalā  Akhtar  Ka Dātā Āp HaiN

Poet: Tāj us-Sharī’ah Mufti Akhtar Ridā Khān

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Other Post of Safina _e_ Bakhshish-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/safinaebakhshish.html