〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Taraweeh ka bayan~

▫️Mas'ala-›  Muqtadi ko ye jaayez nahin ke baitha rahe jab imaam rukoo karne ko ho khadha ho jaye k ye munafiqeen se mushabahat hai, Allah Taala irshad farmata hai "munafiq" jab namaz ko khade hote hain to thake ji se.

📖 surah e nisa aayat no142📖


▫️Mas'ala-› Taraweeh ramzan ki har shab mein bees(20) rakaat sunnat e muaqidda hai baaz log ye kehte hai ke che(6) din ya 10 din mein poora quran sharif sun kar poore ramzan taraweeh nahin padhte woh gunehgaar aur fasiq hai. woh ramzan ul mubaraq ki baqiya (baaqi) raaton mein bhi taraweeh padhe.


🔴Lukma Dene Ke Masail ~

▫️Mas'ala-› Imaam Agar Bhool Jaaye To Luqma Dena Jaayez Hai Sur Agar Imaam Ne Luqma Le Liya To Uss Par Sajda e Sahu Nahin.

▫️Mas'ala-› Fauran Luqma Dena Makrooh Hai Thoda Tawaqquf (Theherna) Chaahiye Ke Shayed Imaam Nikal Le.

▫️Mas'ala-› Imaam Ko Makrooh Hai Ke Muqtadiyon Ko Luqma Dene Par Majboor Kare Balki Kisi
Doosri Sureh Ki Taraf Muntaqil Ho Jaye Ya Doosri Aayat Shuru Karde Bashart Ye K Uska Wasl Mufside Namaaz Na Ho.

▫️Mas'ala-› Qari (Imaam) Ko Pareshaan Karne Ki Niyyat Se Luqma Dena Haraam Hai. -(Fatawe Razwiya)

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html