〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Fazail E Shab-E- Qadr ~
🔸Shab-E-Qadr ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui, Allah T’aala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaq baargi lauhe Mehfooz se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.
🔹Iss Shab Mein Ibaadat Karna Hazaar Mahinon Ke Ibaadat Se Behtar Hai
🔸Iss Shab Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain Aur Jo Log Ibaadat Wa Riyaazat Mein Mashgool Rehte Hain Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye Farishte Subha Saadiq Tak Rehte Hain.
🔹Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain
🌀Hadees:- Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai. ~(Nasai)
🌟Hadees:- Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein
1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai. ~(Ibne Majah)
🌀Hadees:- Hazrat Salman Farsi Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya- Aye Logo! Tumhaare Paas Azmat Wala Barkat Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai. ~(Baihaqi)
📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html