〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Sehri wa iftar ka bayan ~

▫️Mas'ala-› Sehri Khana aur usme taakhir karna mustahab hai magar itni taakhir makhrooh hai k subah ho jaye .

▪️Mas'ala-› Iftar me jaldi karna mustahab hai magar iftaar uss waqt kare k gurub ka gaalib gumaan ho jab tak gumaan gaalib na ho iftar na kare agarche mu'azzin ne azan keh di hai aur baadal ke dino mein iftar mein jaldi na kare.

▫️Mas'ala-› Baaz log fajr ki azaan tak sehri khaate rehte hai unka roza nahi hota.

▪️Mas'ala-› Subah sadiq tak sehri kha sakte hai magar ehtiyaatan 5 minute pehle khaana pina mauqoof kar dena behtar hai.

▫️Mas'ala-› Kisi bhi roze ke liye sehri shart nahin ye jo awaam mein mashoor hai k nafli roze ke liye
sehri zaroori hai iski koi asl nahi balke bagair sehri bhi roza ho jayega.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html