〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai ~

▫️Mas'ala-› Safar Wa Hamal (Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke Liye Uzr Hain Inn Wujooh Se Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar Nahin

▪️Mas'ala-› Safar Se Muraad Safar e Sharaiy Hai Yaani Itni Door Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyaada Ho.

▫️Mas'ala-› Din Mein Safar Kiya To USS Din Ka Rozah Iftaar Karne Ke LIYE Aaj Ka Safar Uzr Nahin Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga

▪️Mas'ala-› Hamal wali (pregnancy) Aurat KO Apni Jaan Ka Khauf Ho To Ijaazat Hai K Wo Uss Waqt Na Rakhe

▫️Mas'ala-› Mareez ko Marz Badhjaane Ya Der Mein Achcha Hone Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn Sabko Ijaazat Hai K USS Din Rozah Na Rakhe

▪️Mas'ala-› Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez Weham(khyaal) Kaafi Nahin

▫️Mas'ala-› Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Rozah Todhna Jaayez Nahin Agar Todhega
To Kaffara Laazim Aayega

▪️Mas'ala-› Jin Logo Ne Inn Uzro Ke Sabab Rozah Todha Unpar Farz Hai k Inn Rozo Ki Qaza Rakhe Magar Hukm Ye Hai K Uzr Jaane K baad Doosre Ramzaan Aane Se PEHLE Qaza Rakhle.

🔵Hadees Mein Farmaya Jis par Peechle Ramzaan Ki Qaza Baaki Hai Aur Wo Na Rakhe Uske Iss Ramzaan Ke Roze Qubool Na Honge Aur agar Roze Na Rakhe Aur Doosra Ramzaan Aa Gaya To Ab Pehle Iss Ramzaan Ke Roze Rakhle Qaza Na Rakhe(Yaani Ramzaan Ke Baad Rakhe)

▫️Mas'ala-› Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah Rakhne Mein Zarar(Nuqsaan) Na Pahunche To Rozah Rakhna SAfar Mein Behtar Hai Warna NA Rakhna Behtar.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html