〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Sehri wa iftar ka bayan ~

🌀Hadees:- Hazrat Anas raziallahu taalaanhu se riwayat hai ke Huzoor e aqdas sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya"sehri khao k sehri khane me barkat hein"

🌟Hadees:- Hazrat Abdullah ibne Umar radiallahutaala anhu se riwayat hai k Huzoor Akram Sallal laahu alaihi wasallam Ne Farmaya"Allah aur uske Farishte Sehri khanne walon par Durood Bhejte hain.

🌀Hadees:- Hazrat Abu Saeed khudri radiallahu taala anhu se riwayat hai ki Huzoor Sallal laahu Taala Alaihi wasllam ne farmaya"Sehri kul barkat hai use na chhodhna agarche ek ghoont pani bhi peele kyunki sehri khaane walon par Allah aur uske Farishte durood bhejte hai"

🌟Hadees:- Hazrat Sahal bin Sa'ad radiallahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas Sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya hamesha log khair ke saath raheinge jab tak iftar mein jaldi karenge.

🌀Hadees:- Hazrate Abu Hurairah radi allahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya k Allah Taala ne farmaya mere bandhon mein mujhe zyada pyaara woh hai jo iftar mein jaldi karta hai.

🌟Hadees:- Hazrate Salman Bin Amir radiallahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas Sallal Laahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jab tumme se koi rozah iftaar kare to khujoor ya
chhohare se iftar kare k woh barkat hai agar woh na mile to pani se k woh paak karne wala hai.

🌀Hadees:- Huzoor e Aqdas sallal laahu alaihi wasallam Iftar ke waqt ye dua padhte


اَللّٰهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلىٰ رِزْقِكَ اَفْطَرْ تُ

📖Abu Dawood📖


📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html