〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Etakaaf Ka bayaan ~

Etakaaf Ki 3 Qismein Hai -

1). Wajib

2). Sunnate Mu-akkida

3). Mustahab


1). Etakaaf-e-wajib:-

Ye Mannat Ka Etakaaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani K Fulah Kaam Ho Jaayega To MAIN 1 Din Ya 2 Din Etakaaf Karuga To Ye Etakaaf Wajib Hai Iska Poora Karna Zaroori Hai. Etakaafe Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai Bagair Rozah Ke Saheeh Nahin.


2). Etakaaf-e-Sunnate Mu-akkida:-

Ye Ramzaan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye.

▫️Mas'ala-› 20’svi Ramzaan Ko Suraj Doobte Waqt Etakaaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho
Aur 30’svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29’svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle.

▪️Mas'ala-› Agar 20’svi Taarikh Ko Baad Namaaz-E-Magrib Etakaaf Ki Niyyat Ki To Sunnat-e-Mu-akkida Adaa Na Hogi.

▫️Mas'ala-› Ye Etakaaf Sunnat-e-Mu-akkida Kifaya Hai k Agar Sab Chhodh de to Sab Pakre Jaayen Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayen.

▪️Mas'ala-› Iss Etakaaf Mein Bhi Rozah Shart Hai Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kaafi Hai.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html