〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Fazail E Shab-E- Qadr ~

✴️ Iss Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhe Aur Agar Zindagi Qaza Namaaze Ho To Behtar Ye Hai K Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Apne Rab Se Maafi Maange.

💝 Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai-

1). 2 Fajr ki,

2). 4 Zohar Ki,

3). 4 Asr Ki,

4). 3 Magrib ,

5). 4 Isha & 3 Vitr.

🌟Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye.

🌀Zyaada Ho Jaaye To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta jald Adaa
Karein Kaaheeli Na Karein.

🌟Jab Tak Farz Zimaa Rehta Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata.

🌀Niyyat Unn Namaazon Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar Yu Kahe Ki Sab Se Pehli Jo Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi Kahe yaani 1 Adaa Huyi To Baakiyon Mein Jo Sabse Pehli Hai Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html