〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai ~

✴️ Roze Ke Fidya Ke Masail ✴️

▫️Mas'ala-› Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat)

▪️Mas'ala-› Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota Jaayega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.

▫️Mas'ala-› Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi(Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho(Sardi) Main Rakh Sakega To Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke
Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.

▪️Mas'ala-› Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi K Rozah Rakh Sakega To Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon Ki Qaza Rakhe.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html