〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Etakaaf Ka bayaan ~

Etakaaf Ki 3 Qismein Hai -


3). Etakaaf-e-Mustahab-

Etakaafe Wajib Aur Etakaafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Etakaaf Kiya Jaaye Wo Mustahab Hai. Etakaafe Mustahab Ke Liye Rozah Shart Nahin,Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai Masjid Mein Jab Jab Jaaye Iss Etakaaf Ki Niyyat Kar Le Chaahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahaar Aa Jaayega Etakaaf Khatm Ho Jaayega Aur Uski Niyyat Ye Hai.

💟Arbi Dua-


نَوَیْتُ سُنَّةَ الاِعْتِکَاف

Aur Urdu Mein Iss Tarah Kahein Maine- Allah Ke Waaste Etakaaf-e-Mustahab Ki Niyyat Ki.

▫️Mas'ala-› Mard ke Etakaaf ke liye masjid zaroori hai.

▪️Mas'ala-› Aurat apne ghar ki Uss jagah Mein Etakaaf kare jo jagah Usne namaAz ke liye mukarrar kar rakhi ho.

▫️Mas'ala-› Agar aurat ne namaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai to ghar Mein etakaaf Nahin kar sakti,albatta agar iss waqt yaani jab ke etakaaf ka irada kiya kisi jagah ko namaaz ke liye
khaas karliya to Uss jagah etAkaaf kar sakti hai.

▪️Mas'ala-› Aurat ke liye ye mustahab hai k ghar Mein namaaz padhne ke liye koi jagah mukarrar karle aur Use paak aur saaf rakhe .

▫️Mas'ala-› MutakIf (Etakaaf karne wala) ko masjid se bagair uzr nikalna haram hai agar nikla to Etakaaf toot jaayega, chaahe bhool kar hi nikla ho jab bhi.

▪️Mas'ala-› Aurat agar apne Etakaaf ki jagah se nikli to Etakaaf jaata raha chaahe ghar hi Mein rahe.

▫️Mas'ala-› Mutakif (Etakaaf karne wala) masjid hi Mein khaaye peeye soye in Umoor ke liye masjid se bahaar hoga to Etakaaf jaata rahega,magar khaane peene Mein yeh Ehtiyaat lazim hai k masjid aaluda na ho.

▪️Mas'ala-› Mutakif ke siwa aur kisi ko masjid Mein khaane peene sone ki ijaazat Nahin aur agar yeh kaam karna chaahe to Etakaaf ki Niyyat karke,masjid Mein jaayen aur namaaz padhen ya zikr e ilahi kare phir yeh kaam kar sakta hai.

▫️Mas'ala-› Mutakif na chup rahe na baat kare balki quran-e-majid ki tilawat hadees ki Qeerat aur durood sharif ki kasrat kare, ambiya wa auliya wa saaleheen ke haalaat padhe.

▪️Mas'ala-› Etakaaf jis wajah se bhi toote Qasdan ya bila Qasd be Herhaal qaza wajib hai.

▫️Mas'ala-› Sunnat-e-muakkida Etakaaf agar todha to jis din todha faqat Uss ek 1 din ki qaza hai poore das 10 dinon ki qaza wajib Nahin.

▪️Mas'ala-› Agar nafl Etakaaf todh De to iski qaza Nahin.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html