〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠Taraweeh ka bayan~

▫️Mas'ala-› Taraweeh mein ek(1) baar quran e majid khatm karna Sunnat e muakidda hai Logon ki susti ki wajah se khatam ko tark na kare.

▪️Mas'ala-› Agar muqtadiyon par girami ho to tashahaud ke baad


" اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلىٰ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِهٖ "

Par iktefa kare.

▫️Mas'ala-› Agar ek (1) Quran khatam karna ho to behtar hai k sattaiswi (27) shab me khatam ho phir agar iss raat mein ya iske pehle khatm ho to taraweeh aakhir ramzan tak baraabar padhte rahe k sunnat e muakkida hai.

▪️Mas'ala-› Afzal ye hai ke ek imaam ke peeche taraweeh padhe aur do (2) ke peeche padhna chaahe to behtar hai k poore tarawih par imaam badle maslan aanth(8) ek (1) ke peeche aur 12 doosre ke.

▫️Mas'ala-› Ramzan sharif mein vitr jama'at ke sath padhna afzal hai khwah usi imaam ke peeche jis ke peeche isha wa taraweeh padhi hai ya doosre ke peeche.

▪️Mas'ala-› Ye jaayez hai ke ek shaks isha wa vitr padhaye doosra taraweeh.

▫️Mas'ala-› Agar isha jamat se padhe aur taraweeh tanha to vitr ki jamat me sharik ho sakta hai.


▪️Mas'ala-› Agar isha tanha padhli agarche taraweeh ba jamaat padhi to vitr tanha padhe.

📕»» Fazail wa Masaile Ramzaanul Mubarak
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ramzan-masail.html