___________________________________

Imame Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Se Poochha Gaya Ke Buzrugaan-E-Deen Ke Aa'raas (Urs) Ke Ta'ayyun (Yaani Urs Ka Din Muqarrar Karne) Mein Bhi Koi Maslahat Hai?

Aap Ne Jawaaban Irshaad Farmaaya: Ha'n Auliyaa-E-Kiraam Ki Arwaah-E-Tayyiba Ko Un Ke Wisaal Ke Din Quboor-E-Kareema Ki Taraf Tawaijeh Ziyaada Hoti Hai Chunaanche Woh Waqt Jo Khaas Wisaal Ka Hai, Akhaze Barkaat (Barkaat Lene) Ke Liye Ziyaada Munaasib
Hota Hai.

📕 (Malfoozaatshareef, Pg.:383, Matbu'a Maktabatul Madina Karachi)

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html