""Rajjab "60" Hijri Me'n HAZRAT MUAAWIYA RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ke WISAAL Ke Baad Yazeed Ne MADEENA-E-MUNAWWARAH Ke Governor Waleed Bin Utbah Ko Likha Ke HUSAIN, IBN-E-UMAR, Aur IBN-E-ZUBAIR RadiaALLAHU Ta'ala Anhuma Se Fauri Taur Par BAI'T Le Lo Aur Jab Tak Woh BAIT Na Kare'n Unhe'n Mat Chhordo.""
📕 (Tarik E Kaamil, Jild-4:14)

"" IMAM-E-HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ne Yazeed ki BAIT se Inkaar Kiya Aur MAKKAH SHAREEF Tashreef Le Gaye. AAP Ke Nazdeek Yazeed Musalmano'n Ki Imaamat-o-Siyaadat (Rahbar aur Sardaar) Ke Hargiz Laayeq Nahi Tha Balke Faasiq-O-Faajir, Sharaabi Aur Zaalim Tha. IMAM-E-HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ko Kufiyo'n Ne Mutaddid (Kayee) Khutoot (Letters) Likhe Aur Kayee Qaasid (Chitthi ya Khabar Pahunchaane Waala) Bheje Ke AAP Kufe Aaye'n, Hamaara koi Imaam Nahi Hai, hum AAP Se BAIT Karenge. Khutoot (Letters) Aur Qaasido'n Ki Taadaad Is Qadar Ziyada Thi ke *IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu* Ne yeh samjha Ke MUJH Par Un ki Rehnumayi ke liye Aur Unhe'n Faasiq-o-Faaijir Ki BAIT Se Bachaane Ke Liye Jaana Zaruri Ho Gaya Hai.""

""Haalaat se Aagahee (Khabar Rakhne) ke liye AAP Ne MUSLIM BIN AQEEL RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ko Kufa Bheja, Jin ke Haath Par Beshumaar logo'n ne BAIT Kar Li, Lekin Jab Ibn-e-Ziyaad Ne Dhamkiyan Din To
Woh Log Apni BAIT Se Phir Gaye Aur MUSLIM BIN AQEEL RadiALLAHU Ta'ala Anhu SHAHEED Kar Diye Gaye.""

اِناَّ لـِلَّـهِ وَ اِناَّ اِلَـيـهِ رَاجِـعُــون.

"" IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ko HAZRAT MUSLIM BIN AQEEL Ki SHAHAADAT Aur Ahle-Kufa Ki Bewafaayi Ki Khabar Us Waqt Mili Jab AAP MAKKAH SHAREEF Se Kufa Ki Taraf Rawaana Ho Chuke The.""

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/shahadat-e-imam-hussain.html