☪QIYAMAT KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Qiyamat kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Qiyamat uss din ko kehte hai jis din Hazrath-E-ISRAFEEL عليه السلام soor phunkenge, soor seeng ke shakal ki ek cheez hai jiski aawaaz sunkar sab aadmi aur tamaam jaanwar mar jayenge, zameen, aasmaan, chand, sooraj aur pahaad wagairah duniya ki har cheez toot foot kar fana ho jayegi yaha tak ki soor bhi khatm ho jayega aur Hazrath-E-ISRAFEEL عليه السلام bhi fana ho jayenge yeh waqiya Muharram ki Dusvi tariq Jum’a ke din hoga.

⛲SAWAL:

➡Qiyamat ki kuch nishaaniya bayan kijiye ?

🌟JAWAB:


➡Jab duniya me gunah ziyada hone lage, ‘Haraam’ Kaamo ko loog khullam khulla karne lage, Maa Baap ko takleef de, aur Gairon se mail jhool rakhe, Amaanath me qiyaanath kare, “Zakaath dena loogon par gira guzre”, Duniya hasil karne ke liye Ilm-e-deen padha jaaye, “Naach gaane ka riwaaj ziyada ho jaye”, Badkaar loog qaum ke peshwa aur leader ho jaaye, Charwaahe wagairah kam darje ke loog badi badi buildingon aur kothiyon me rehne lage, toh samajh lo ki Qiyamat qareeb aagayi hai.

⛲SAWAL:

➡Jo shaks Qiyamat ka inkaar kare uske liye kya hukm hai ?

🌟JAWAB:

➡Qiyaamat qayim hona haq hai, usko inkaar karne wala kaafir hai.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html